yar ahbab to ghar jaenge
yaar ahbāb to ghar jā.eñge
aur ham ḳhud meñ bikhar jā.eñge
ḳhāmushī hai na hai koī āvāz
aise 'ālam meñ to mar jā.eñge
phailtā jā rahā hai sannāTā
zaḳhm āvāz ke bhar jā.eñge
kyā dhanak TuuT ke gir jā.egī
kyā sabhī rang bikhar jā.eñge
ghar se nikle the tahayya kar ke
ghar bulā.egā to ghar jā.eñge
shaam ke baa'd nahīñ hai rasta
shaam ke baa'd kidhar jā.eñge
yar ahbab to ghar jaenge
aur hum KHud mein bikhar jaenge
KHamushi hai na hai koi aawaz
aise 'alam mein to mar jaenge
phailta ja raha hai sannaTa
zaKHm aawaz ke bhar jaenge
kya dhanak TuT ke gir jaegi
kya sabhi rang bikhar jaenge
ghar se nikle the tahayya kar ke
ghar bulaega to ghar jaenge
sham ke ba'd nahin hai rasta
sham ke ba'd kidhar jaenge
- Book : Ham Zameen Par Aasmaan Ke Phool Hain (Pg. 100)
- Author : Vikas Sharma Raaz
- Publication : Rekhta Publications (2025)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.