Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yar ka panw to aalam ka dahan sar hota

Raja Girdhari Parsad Baqi

yar ka panw to aalam ka dahan sar hota

Raja Girdhari Parsad Baqi

MORE BYRaja Girdhari Parsad Baqi

    yaar paañv to aalam dahāñ sar hotā

    kāshke maiñ bhī dar-e-yār patthar hotā

    bose letā lab-e-shīrīñ ke jo sāġhar hotā

    shīsha hotā to maiñ ham-pahlū-e-dilbar hotā

    jalva-farmā jo kabhī vo mah-e-anvar hotā

    sharaf-e-manzil-e-ḳhurshīd merā ghar hotā

    dil-e-āshiq ke ye sau TukḌe kahāñ se hote

    teġh-e-abrū meñ jo ġhamze na jauhar hotā

    varaq-e-gul pe tire chehre likhtā tausīf

    rag-e-bulbul se agar rishta-e-mistar hotā

    ātish-e-ishq dil hai ki laatā hai taab

    ḳhaak hotā jo is ātish meñ samundar hotā

    lab-e-rangīñ agar rang dikhātā vo shoḳh

    la.al be-rangī se billor patthar hotā

    hosh ho jaate rafū-chakkar udhaḌte Tāñke

    zaḳhm-e-dil siine ke darpe jo rafūgar hotā

    apnī betābī-e-dil bhī maiñ likhtā hālat

    ḳhat ke pahuñchāne ko loTan jo kabūtar hotā

    josh-e-vahshat ke sabab raah pe aatā na kabhī

    tere āvāra gar ḳhizr bhī rahbar hotā

    qadd-e-bālā ke tasavvur meñ jo kartā fariyād

    mere nāloñ guzar arsh-e-barīñ par hotā

    aaj hotā jo sulaimāñ to tirī rakhtā muhr

    aa.ina tujh ko dikhātā jo sikandar hotā

    kisī hālat meñ nahīñ mujh ko surūr ai 'bāqī'

    nashsha-e-mai se mire sar meñ chakkar hotā

    yar ka panw to aalam ka dahan sar hota

    kashke main bhi dar-e-yar ka patthar hota

    bose leta lab-e-shirin ke jo saghar hota

    shisha hota to main ham-pahlu-e-dilbar hota

    jalwa-farma jo kabhi wo mah-e-anwar hota

    sharaf-e-manzil-e-KHurshid mera ghar hota

    dil-e-ashiq ke ye sau TukDe kahan se hote

    tegh-e-abru mein jo ghamze ka na jauhar hota

    waraq-e-gul pe tere chehre ki likhta tausif

    rag-e-bulbul se agar rishta-e-mistar hota

    aatish-e-ishq ki dil hi hai ki lata hai tab

    KHak hota jo is aatish mein samundar hota

    lab-e-rangin ka agar rang dikhata wo shoKH

    lal be-rangi se billor ka patthar hota

    hosh ho jate rafu-chakkar udhaDte Tanke

    zaKHm-e-dil sine ke darpe jo rafugar hota

    apni betabi-e-dil ki bhi main likhta haalat

    KHat ke pahunchane ko loTan jo kabutar hota

    josh-e-wahshat ke sabab rah pe aata na kabhi

    tere aawara ka gar KHizr bhi rahbar hota

    qadd-e-baala ke tasawwur mein jo karta fariyaad

    mere nalon ka guzar arsh-e-barin par hota

    aaj hota jo sulaiman to teri rakhta muhr

    aaina tujh ko dikhata jo sikandar hota

    kisi haalat mein nahin mujh ko surur ai 'baqi'

    nashsha-e-mai se mere sar mein hi chakkar hota

    Source:

    Deewan-e-Urdu (Pg. 13)

    • Author: Raja Girdhari Parsad Baqi
      • Publisher: Ufuq Lakhnavi
      • Year of Publication: 1890
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now