Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yara nahin jin mein dushmani ka

Gulam Rasool Tariq

yara nahin jin mein dushmani ka

Gulam Rasool Tariq

MORE BYGulam Rasool Tariq

    yaarā nahīñ jin meñ dushmanī

    da.avā na kareñ vo dostī

    unvāñ na mile jo ḳhud-sarī

    khultā nahīñ baab āgahī

    un ko thā ḳhayāl dostī

    vo daur guzar chukā kabhī

    dastūr nahīñ kuchh is sadī

    kab daur na thā ravā-ravī

    ai dost gila na kar kisī

    ehsās hai ye bhī kamtarī

    vo chāñd utar chukā hai dil meñ

    muhtāj nahīñ jo raushnī

    bohtān hai ye ki rahā huuñ

    ilzām hai mujh pe zindagī

    jiine ko to rahī hai duniyā

    jiinā hai magar kisī kisī

    jis vaqt sahar qarīb hogī

    pūchheñge mizāj chāñdnī

    vo pūchh rahe haiñ mujh se 'tāriq'

    kyā haal hai terī shā.irī

    yara nahin jin mein dushmani ka

    dawa na karen wo dosti ka

    unwan na mile jo KHud-sari ka

    khulta nahin bab aagahi ka

    un ko tha KHayal dosti ka

    wo daur guzar chuka kabhi ka

    dastur nahin kuchh is sadi ka

    kab daur na tha rawa-rawi ka

    ai dost gila na kar kisi ka

    ehsas hai ye bhi kamtari ka

    wo chand utar chuka hai dil mein

    muhtaj nahin jo raushni ka

    bohtan hai ye ki ji raha hun

    ilzam hai mujh pe zindagi ka

    jine ko to ji rahi hai duniya

    jina hai magar kisi kisi ka

    jis waqt sahar qarib hogi

    puchhenge mizaj chandni ka

    wo puchh rahe hain mujh se 'tariq'

    kya haal hai teri shairi ka

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now