Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaro kaisi basti hai ye kaise hain diwane log

Syed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi

yaro kaisi basti hai ye kaise hain diwane log

Syed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi

MORE BYSyed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi

    yaaro kaisī bastī hai ye kaise haiñ dīvāne log

    aapas meñ haiñ dast-o-garebāñ sab jaane pahchāne log

    apne man ke saañp kuchh ḳhauf samāyā rahtā hai

    jab apne saa.e se haiñ aaj lage Dar jaane log

    kuchh to vaqt āñdhī ne dil raakh kuredī hai

    kuchh nā-samjhī se bhī apnī aag lage bhaḌkāne log

    nafrat ke ik naag ne goyā sab ko Das rakkhā hai

    kal ham ko pahchān rahe the aaj nahīñ pahchāne log

    kal tak is DyoDhī par aakar dars-e-vafā le jaate the

    aah isī dar par aa.e haiñ aaj hameñ samjhāne log

    kyā pūchho ho kyā batlā.eñ dil par kyā kuchh biitī hai

    kal tak sab apne the kyuuñ aaj hue begāne log

    apne dil meñ ham kyā kyā tūfān chhupā.e baiThe haiñ

    kyā jāneñge kyā samjheñge ye ġham se begāne log

    kal tak jehd-e-musalsal ko apnā shi'ār banāyā thā

    shīsh-mahal ke sapnoñ meñ aaj lage kho jaane log

    shaiḳh-o-haram ke jhagḌoñ se to dil kuchh itnā uub gayā

    dair-o-haram ko chhoḌ ke ab to aa baiThe maiḳhāne log

    kal tak ham nāz-e-vatan the ham shān-e-gulshan the

    nang-e-vatan gardān ke ham ko aaj lage Thukrāne log

    ik ehsās chingārī se dil meñ aag vo bhaḌkī hai

    chehre rangat se dil haal lage batlāne log

    ḳhushbū dil ke zaḳhmoñ phir aaj 'ziyā' ke phailī hai

    dekho us ke paañv meñ beḌī aa.e haiñ pahnāne log

    yaro kaisi basti hai ye kaise hain diwane log

    aapas mein hain dast-o-gareban sab jaane pahchane log

    apne man ke sanp ka hi kuchh KHauf samaya rahta hai

    jab hi apne sae se hain aaj lage Dar jaane log

    kuchh to waqt ki aandhi ne hi dil ki rakh kuredi hai

    kuchh na-samjhi se bhi apni aag lage bhaDkane log

    nafrat ke ek nag ne goya sab ko hi Das rakkha hai

    kal hum ko pahchan rahe the aaj nahin pahchane log

    kal tak is DyoDhi par aakar dars-e-wafa le jate the

    aah isi dar par aae hain aaj hamein samjhane log

    kya puchho ho kya batlaen dil par kya kuchh biti hai

    kal tak sab apne hi the kyun aaj hue begane log

    apne dil mein hum kya kya tufan chhupae baiThe hain

    kya jaanenge kya samjhenge ye gham se begane log

    kal tak jehd-e-musalsal ko hi apna shi'ar banaya tha

    shish-mahal ke sapnon mein hi aaj lage kho jaane log

    shaiKH-o-haram ke jhagDon se to dil kuchh itna ub gaya

    dair-o-haram ko chhoD ke ab to aa baiThe maiKHane log

    kal tak hum hi naz-e-watan the hum hi shan-e-gulshan the

    nang-e-watan gardan ke hum ko aaj lage Thukrane log

    ek ehsas ki chingari se dil mein aag wo bhaDki hai

    chehre ki rangat se dil ka haal lage batlane log

    KHushbu dil ke zaKHmon ki phir aaj 'ziya' ke phaili hai

    dekho us ke panw mein beDi aae hain pahnane log

    Source:

    Kasak (Pg. 49)

    • Author: Syed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi
      • Publisher: Saima Publication, Patna
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now