Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yas ki badli yun dil par chha gai

Gopal Krishn Shafaq

yas ki badli yun dil par chha gai

Gopal Krishn Shafaq

MORE BYGopal Krishn Shafaq

    yaas badlī yuuñ dil par chhā ga.ī

    zindagī se zindagī uktā ga.ī

    ranj-o-ġham to pahle kuchh kam na the

    yaad terī kyuuñ hameñ taḌpā ga.ī

    aap ne to jhūTā vā'da kar diyā

    jaan muTThī meñ hamārī aa ga.ī

    zindagī ye dekh kar us ke sitam

    maut bhī insān se ghabrā ga.ī

    dekh kar is daur ayyāriyāñ

    kaañp uTThā dil nazar tharrā ga.ī

    sar uThāyā jab ta'assub ne 'shafaq'

    ādamiyat tabāhī aa ga.ī

    yas ki badli yun dil par chha gai

    zindagi se zindagi ukta gai

    ranj-o-gham to pahle hi kuchh kam na the

    yaad teri kyun hamein taDpa gai

    aap ne to jhuTa wa'da kar diya

    jaan muTThi mein hamari aa gai

    zindagi ye dekh kar us ke sitam

    maut bhi insan se ghabra gai

    dekh kar is daur ki ayyariyan

    kanp uTTha dil nazar tharra gai

    sar uThaya jab ta'assub ne 'shafaq'

    aadamiyat ki tabahi aa gai

    Source:

    Mauj-e-shafaq (Pg. 47)

    • Author: Dr. Gopal Krishn Shafaq
      • Edition: 1995
      • Publisher: Dr. Gopal Krishn Shafaq
      • Year of Publication: 1995
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now