Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahan ishq mast-e-alast hai yahan shakl kya yahan nam kya

Ishaq Nashad

yahan ishq mast-e-alast hai yahan shakl kya yahan nam kya

Ishaq Nashad

MORE BYIshaq Nashad

    yahāñ ishq mast-e-alast hai yahāñ shakl kyā yahāñ naam kyā

    ye jahān-e-mauj-e-ḳhayāl hai yahāñ aql-o-fikr se kaam kyā

    rah-e-ishq ye tajalliyāñ yahāñ gum hue ka.ī kārvāñ

    ka.ī pech-o-ḳham haiñ yahāñ vahāñ kisī pe koī qiyām kyā

    jahāñ harf-o-ma.anī haiñ sab ġhalat vahāñ mudda.ā nahīñ mudda.ā

    jahāñ guftugū bhī harām ho vahāñ iztirāb-e-kalām kyā

    yahī mai-kada hai vo mai-kada jahāñ qatra-qatra surūr hai

    ye maqām-e-kaif-e-nigāh hai yahāñ raqs-e-bāda-o-jām kyā

    ye hijāb-e-lā ye vajūd-e-lā yahāñ har nishān hai be-nishāñ

    yahāñ kam haiñ aql-o-shu.ūr sab yahāñ āgahī maqām kyā

    na haram se us ko koī ġharaz na dair se koī vāsta

    jo ġhulām yaar ho gayā'' vo bhalā kisī ġhulām kyā

    ye jahān-e-ishq hai be-ḳhabar yahāñ kā.enāt-e-ḳhudī kahāñ

    nahīñ jab maqām-e-ḳhabar koī to payām kyā to salām kyā

    yahan ishq mast-e-alast hai yahan shakl kya yahan nam kya

    ye jahan-e-mauj-e-KHayal hai yahan aql-o-fikr se kaam kya

    rah-e-ishq ki ye tajalliyan yahan gum hue kai karwan

    kai pech-o-KHam hain yahan wahan kisi ja pe koi qiyam kya

    jahan harf-o-mani hain sab ghalat wahan muddaa nahin muddaa

    jahan guftugu bhi haram ho wahan iztirab-e-kalam kya

    yahi mai-kada hai wo mai-kada jahan qatra-qatra surur hai

    ye maqam-e-kaif-e-nigah hai yahan raqs-e-baada-o-jam kya

    ye hijab-e-la ye wajud-e-la yahan har nishan hai be-nishan

    yahan kam hain aql-o-shuur sab yahan aagahi ka maqam kya

    na haram se us ko koi gharaz na hi dair se koi wasta

    jo ghulam yar ka ho gaya wo bhala kisi ka ghulam kya

    ye jahan-e-ishq hai be-KHabar yahan kaenat-e-KHudi kahan

    nahin jab maqam-e-KHabar koi to payam kya to salam kya

    Source:

    (Pg. 9)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now