Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahan jo kuchh hai husn-e-la-makan ke ma-siwa kya hai

Syed Ahmed Shameem

yahan jo kuchh hai husn-e-la-makan ke ma-siwa kya hai

Syed Ahmed Shameem

MORE BYSyed Ahmed Shameem

    yahāñ jo kuchh hai husn-e-lā-makāñ ke mā-sivā kyā hai

    magar jalva jalva hai to merā aa.ina kyā hai

    shah-e-rag meñ rahtā hai to mauj-e-nafas meñ hai

    to phir batlā ki mā-o-tū meñ itnā fāsla kyā hai

    mashām-e-jāñ meñ kaisī ḳhushbuoñ aaj bārish hai

    chhupā.e apne dāman meñ ḳhudā jaane sabā kyā hai

    ham aise saḳht-jānoñ bahut mushkil hai mar jaanā

    sivā-e-zindagī ke aur koī rāsta kyā hai

    na jaane jañgaloñ meñ apne kaisī aag ugtī hai

    ujāloñ sar-e-kohsār jagmag silsila kyā hai

    yahī hairat hai kaise daur maiñ jiinā paḌā mujh ko

    samajh meñ kuchh nahīñ aatā bhalā kyā hai burā kyā hai

    'shamīm' achchhā kiyā ki aap ne sab kuchh bhulā Daalā

    magar rah rah ke dil meñ gūñjtī pichhlī sadā kyā hai

    yahan jo kuchh hai husn-e-la-makan ke ma-siwa kya hai

    magar jalwa hi jalwa hai to mera aaina kya hai

    tu hi shah-e-rag mein rahta hai to hi mauj-e-nafas mein hai

    to phir batla ki ma-o-tu mein itna fasla kya hai

    masham-e-jaan mein kaisi KHushbuon ki aaj barish hai

    chhupae apne daman mein KHuda jaane saba kya hai

    hum aise saKHt-jaanon ka bahut mushkil hai mar jaana

    siwa-e-zindagi ke aur koi rasta kya hai

    na jaane jangalon mein apne kaisi aag ugti hai

    ujalon ka sar-e-kohsar jagmag silsila kya hai

    yahi hairat hai kaise daur main jina paDa mujh ko

    samajh mein kuchh nahin aata bhala kya hai bura kya hai

    'shamim' achchha kiya ki aap ne sab kuchh bhula Dala

    magar rah rah ke dil mein gunjti pichhli sada kya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now