Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahan kise hansne ki fursat rakkhi hai

Parvez akhtar

yahan kise hansne ki fursat rakkhi hai

Parvez akhtar

MORE BYParvez akhtar

    yahāñ kise hañsne fursat rakkhī hai

    ek se nimTo dūsrī aafat rakkhī hai

    har jānib ik khel hai āpā-dhāpī

    manzar manzar kaisī vahshat rakkhī hai

    sochūñ to bāzār bhī chhoTā lagtā hai

    ghar ke andar itnī zarūrat rakkhī hai

    tere dil ko pyaar se mālā-māl kare

    phuul ke andar jis ne nik.hat rakkhī hai

    ek ke dukh meñ saare royā karte haiñ

    ghar meñ abhī ajdād daulat rakkhī hai

    yahan kise hansne ki fursat rakkhi hai

    ek se nimTo dusri aafat rakkhi hai

    har jaanib ek khel hai aapa-dhapi ka

    manzar manzar kaisi wahshat rakkhi hai

    sochun to bazar bhi chhoTa lagta hai

    ghar ke andar itni zarurat rakkhi hai

    tere dil ko pyar se mala-mal kare

    phul ke andar jis ne nikhat rakkhi hai

    ek ke dukh mein sare roya karte hain

    ghar mein abhi ajdad ki daulat rakkhi hai

    Source:

    Sehmaahi Aamad (Pg. 132)

    • Author: Azeema Firdausi
      • Edition: Volume:2, Issue:5, Oct. Dec 2013
      • Publisher: Arzoo Manzil, Sheesh Mahal Colony, Alamganj, Patna
      • Year of Publication: Volume:2, Issue:5, Oct. Dec 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now