yahan paDao bahut der tak raha gham ka
yahāñ paḌāo bahut der tak rahā ġham kā
zamīn pahlā Thikāna nahīñ hai aadam kā
hamārī sust-ravī Thīk-Thāk mas.ala hai
magar jo lutf-e-samā'at hai sāz-e-maddham kā
ye kis ke ashk liye phir rahī hai bād-e-nasīm
ye kis ne khol ke rakkhā huā hai dar nam kā
ye aur baat tujhe zindagī samajh liyā hai
magar kisī ko bharosa nahīñ rahā dam kā
use bulāo jise dekhne se zaḳhm bhareñ
nazar se koī taqābul nahīñ hai marham kā
uThā ke laatī rahī tāzgī-e-gul ke liye
havā pe bojh rahā ek 'umr shabnam kā
karishma-sāz koī mo'jiza to duur kī baat
asar bhī koī nahīñ ho rahā tire dam kā
palaT rahā hai jahāñ apne asl kī jānib
kueñ kī samt ravāna hai paanī zamzam kā
hamāre ḳhvāb yahāñ daao par lage hue haiñ
aur us ko yaad ḳhasārā hai dām-o-darham kā
yahan paDao bahut der tak raha gham ka
zamin pahla Thikana nahin hai aadam ka
hamari sust-rawi Thik-Thak masala hai
magar jo lutf-e-sama'at hai saz-e-maddham ka
ye kis ke ashk liye phir rahi hai baad-e-nasim
ye kis ne khol ke rakkha hua hai dar nam ka
ye aur baat tujhe zindagi samajh liya hai
magar kisi ko bharosa nahin raha dam ka
use bulao jise dekhne se zaKHm bharen
nazar se koi taqabul nahin hai marham ka
uTha ke lati rahi tazgi-e-gul ke liye
hawa pe bojh raha ek 'umr shabnam ka
karishma-saz koi mo'jiza to dur ki baat
asar bhi koi nahin ho raha tere dam ka
palaT raha hai jahan apne asl ki jaanib
kuen ki samt rawana hai pani zamzam ka
hamare KHwab yahan dao par lage hue hain
aur us ko yaad KHasara hai dam-o-darham ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.