Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahi dua hai yahi hai salam ishq ba-KHair

Rehman Faris

yahi dua hai yahi hai salam ishq ba-KHair

Rehman Faris

MORE BYRehman Faris

    yahī duā hai yahī hai salām ishq ba-ḳhair

    mire sabhī rufqā-e-kirām ishq ba-ḳhair

    dayār-e-hijr suunī udaas galiyoñ meñ

    pukārtā hai koī sub.h-o-shām ishq ba-ḳhair

    maiñ kar rahā thā duā guzārisheñ us se

    so kah ga.ī hai udāsī shaam ishq ba-ḳhair

    baḌe ajiib haiñ shahr-e-junūñ ke bāshinde

    hamesha kahte haiñ ba.ad-az-salām ishq ba-ḳhair

    ye rah zarūr tumhāre ghar ko jaatī hai

    likhā huā hai yahāñ gaam gaam ishq ba-ḳhair

    bayān hai ġhazal-vār dāstān-e-ishq

    so is kitāb rakkhā hai naam ishq ba-ḳhair

    ufuq ke paar mujhe yaad kar rahā hai koī

    abhī milā hai udhar se payām-e-ishq ba-ḳhair

    yahi dua hai yahi hai salam ishq ba-KHair

    mere sabhi rufqa-e-kiram ishq ba-KHair

    dayar-e-hijr ki suni udas galiyon mein

    pukarta hai koi subh-o-sham ishq ba-KHair

    main kar raha tha dua ki guzarishen us se

    so kah gai hai udasi ki sham ishq ba-KHair

    baDe ajib hain shahr-e-junun ke bashinde

    hamesha kahte hain baad-az-salam ishq ba-KHair

    ye rah zarur tumhaare hi ghar ko jati hai

    likha hua hai yahan gam gam ishq ba-KHair

    bayan ki hai ghazal-war dastan-e-ishq

    so is kitab ka rakkha hai nam ishq ba-KHair

    ufuq ke par mujhe yaad kar raha hai koi

    abhi mila hai udhar se payam-e-ishq ba-KHair

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now