Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahi mushkil hai wo mushkil ko aasani samajhta hai

Masood Ahmad

yahi mushkil hai wo mushkil ko aasani samajhta hai

Masood Ahmad

MORE BYMasood Ahmad

    yahī mushkil hai vo mushkil ko āsānī samajhtā hai

    hamāre ḳhuun ko bhī ḳhuun kab paanī samajhtā hai

    mohabbat meñ ye pāgal-pan mirī to ik nahīñ suntā

    tirī nārāzgī ko ḳhanda-peshānī samajhtā hai

    kisī ko bhī samajh aatā nahīñ bāhar duniyā meñ

    magar ye dil to andar bayābānī samajhtā hai

    lagā kar jaan se rakhtā hai jān-o-māl apnā

    hameñ qurbān karne ko qurbānī samajhtā hai

    samundar ġhalat-fahmī andāza nahīñ tujh ko

    vo bādal ko mirī āñkhoñ tuġhyānī samajhtā hai

    kahīñ achchhā hai sannāToñ se pahroñ guftugū karnā

    vo is bāzār raunaq ko vīrānī samajhtā hai

    yahī darvesh kuTiyā hai qasr-e-qaisar-o-kisrā

    vo apne jhoñpaḌe ko qasr-e-sultānī samajhtā hai

    hamārā ishq pahle din se sarpaT bhāgtā ghoḌā

    vo in sañglāḳh rastoñ ko bhī maidānī samajhtā hai

    añdherā raat bhar masrūf pech-o-tāb khāne meñ

    diye phaḌphaḌāhaT ko bhī man-mānī samajhtā hai

    sarāsar ranj hai saare saarā is ta'alluq meñ

    sitam to ye hai is ko bhī meherbānī samajhtā hai

    yahi mushkil hai wo mushkil ko aasani samajhta hai

    hamare KHun ko bhi KHun kab pani samajhta hai

    mohabbat mein ye pagal-pan meri to ek nahin sunta

    teri naraazgi ko KHanda-peshani samajhta hai

    kisi ko bhi samajh aata nahin bahar ki duniya mein

    magar ye dil to andar ki bayabani samajhta hai

    laga kar jaan se rakhta hai jaan-o-mal tu apna

    hamein qurban karne ko hi qurbani samajhta hai

    samundar ki ghalat-fahmi ka andaza nahin tujh ko

    wo baadal ko meri aankhon ki tughyani samajhta hai

    kahin achchha hai sannaTon se pahron guftugu karna

    wo is bazar ki raunaq ko virani samajhta hai

    yahi darwesh ki kuTiya hai qasr-e-qaisar-o-kisra

    wo apne jhonpaDe ko qasr-e-sultani samajhta hai

    hamara ishq pahle din se sarpaT bhagta ghoDa

    wo in sanglaKH raston ko bhi maidani samajhta hai

    andhera raat bhar masruf pech-o-tab khane mein

    diye ki phaDphaDahaT ko bhi man-mani samajhta hai

    sarasar ranj hai sare ka sara is ta'alluq mein

    sitam to ye hai is ko bhi meherbani samajhta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now