yahi nahin ki mera dil hi mere bas mein na tha

Suroor Barabankvi

yahi nahin ki mera dil hi mere bas mein na tha

Suroor Barabankvi

MORE BYSuroor Barabankvi

  yahī nahīñ ki mirā dil mere bas meñ na thā

  jo milā to meñ ḳhud apnī dastaras meñ na thā

  ba-nām-e-ahd-e-rifāqat bhī ham-qadam na huā

  ye hausla mire ma.asūm ham-nafas meñ na thā

  ajiib sehr aalam thā us qurbat meñ

  vo mere paas thā aur merī dastaras meñ na thā

  na jaane qāfila-e-ahl-e-dil pe kyā guzrī

  ye iztirāb kabhī nāla-e-jaras meñ na thā

  ḳhabar to hogī tujhe tere jāñ-nisāroñ meñ

  koī to thā sar-e-maqtal jo pesh-o-pas meñ na thā

  'surūr' apne chaman fazā hai kyā kahiye

  sukūt to vo aalam hai jo qafas meñ na thā

  yahi nahin ki mera dil hi mere bas mein na tha

  jo tu mila to mein KHud apni dastaras mein na tha

  ba-nam-e-ahd-e-rifaqat bhi ham-qadam na hua

  ye hausla mere masum ham-nafas mein na tha

  ajib sehr ka aalam tha us ki qurbat mein

  wo mere pas tha aur meri dastaras mein na tha

  na jaane qafila-e-ahl-e-dil pe kya guzri

  ye iztirab kabhi nala-e-jaras mein na tha

  KHabar to hogi tujhe tere jaan-nisaron mein

  koi to tha sar-e-maqtal jo pesh-o-pas mein na tha

  'surur' apne chaman ki faza hai kya kahiye

  sukut ka to wo aalam hai jo qafas mein na tha

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Suroor Barabankvi

  Suroor Barabankvi

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY