Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahi raha justuju ka aalam to jaan-e-alam ko pa hi lenge

Rishi Patialvi

yahi raha justuju ka aalam to jaan-e-alam ko pa hi lenge

Rishi Patialvi

MORE BYRishi Patialvi

    yahī rahā justujū aalam to jān-e-ālam ko leñge

    agar irādoñ ne dam na toḌā savād-e-manzil ko leñge

    hameñ ye mohlat kahāñ ki socheñ gunāh kyā hai savāb kyā hai

    vo apnī shān-e-karam ke sadqe gire huoñ ko uThā leñge

    hisār-e-āvārgī se nikle agar shu.ūr-e-nazar hamārā

    unheñ ḳhayāloñ meñ leñge unheñ tasavvur meñ leñge

    adā-e-rangīñ dilkashī se nigāheñ mānūs ho rahī haiñ

    nazar farebī ke aa.ine meñ vo naqsh apnā jamā leñge

    hazār māhaul ajnabī ho hazār pābandiyāñ hoñ lekin

    zabān rakhtī hai ḳhāmushī bhī ham apnā qissa sunā leñge

    'rishī' talāsh-o-talab meñ ham ko ḳhud-e'timādī pe hausla hai

    nazar nazar un ko leñge qadam qadam un ko leñge

    yahi raha justuju ka aalam to jaan-e-alam ko pa hi lenge

    agar iradon ne dam na toDa sawad-e-manzil ko ja hi lenge

    hamein ye mohlat kahan ki sochen gunah kya hai sawab kya hai

    wo apni shan-e-karam ke sadqe gire huon ko uTha hi lenge

    hisar-e-awargi se nikle agar shuur-e-nazar hamara

    unhen KHayalon mein ja hi lenge unhen tasawwur mein pa hi lenge

    ada-e-rangin ki dilkashi se nigahen manus ho rahi hain

    nazar farebi ke aaine mein wo naqsh apna jama hi lenge

    hazar mahaul ajnabi ho hazar pabandiyan hon lekin

    zaban rakhti hai KHamushi bhi hum apna qissa suna hi lenge

    'rishi' talash-o-talab mein hum ko KHud-e'timadi pe hausla hai

    nazar nazar un ko pa hi lenge qadam qadam un ko ja hi lenge

    Source:

    Shafaq Rang Aansu (Pg. 209)

    • Author: Rishi Patialvi
      • Publisher: Jamal Printing Press, Delhi
      • Year of Publication: 1981
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now