Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahi saza hai charaghon se aashnai ki

Tanmay Mishra

yahi saza hai charaghon se aashnai ki

Tanmay Mishra

MORE BYTanmay Mishra

    yahī sazā hai charāġhoñ se āshnā.ī

    mire ḳhilāf havāoñ ne kārvā.ī

    nahīñ khule haiñ ka.ī din se bāñdh āñkhoñ ke

    badan pe ek parat jam ga.ī hai kaa.ī

    darīche khol diye raat phir se maazī ke

    tamām samt udāsī se raushnā.ī

    shab-e-visāl khañgālā varaq varaq us

    badan-kitāb tafsīl se paḌhā.ī

    asīr-e-ishq banā liyā mujhe us ne

    qubūl ho ga.iiñ arziyāñ rihā.ī

    kahāñ talāsh rahā hai judā.ī ke ma.anī

    mujhe nihār maiñ tafsīr huuñ judā.ī

    yahi saza hai charaghon se aashnai ki

    mere KHilaf hawaon ne karwai ki

    nahin khule hain kai din se bandh aankhon ke

    badan pe ek parat jam gai hai kai ki

    dariche khol diye raat phir se mazi ke

    tamam samt udasi se raushnai ki

    shab-e-visal khangala waraq waraq us ka

    badan-kitab ki tafsil se paDhai ki

    asir-e-ishq bana hi liya mujhe us ne

    qubul ho hi gain arziyan rihai ki

    kahan talash raha hai judai ke mani

    mujhe nihaar main tafsir hun judai ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now