Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahi sochte hain aksar kahan aa gae KHushi mein

Fatima Taj

yahi sochte hain aksar kahan aa gae KHushi mein

Fatima Taj

MORE BYFatima Taj

    yahī sochte haiñ aksar kahāñ aa ga.e ḳhushī meñ

    ki ye din guzar rahe haiñ jo hisār-e-be-ḳhudī meñ

    ye safar hai aarzū yahāñ dhūp-chhāñv bhī hai

    kabhī dil meñ raushnī hai kabhī dil hai raushnī meñ

    vahī deñge ab ujālā tire qalb be-ḳhabar ko

    jo charāġh jal uThe haiñ mirī shām-e-zindagī meñ

    mujhe e'tibār-e-ulfat tumheñ hai yaqīn merā

    koī mil sakā na tum mujhe saarī zindagī meñ

    tire saath hai kuchh aisā mirī jur.atoñ aalam

    koī Dar hai zindagī meñ na hai ḳhauf koī meñ

    tirā naam paḌh rahī huuñ tirā naam likh rahī huuñ

    maiñ tujhe samo rahī huuñ mire zauq-e-shā.irī meñ

    mirī zaat ko sajāne koī aa.ina na denā

    mirā husn jalva-gar hai abhī 'tāj' sādgī meñ

    yahi sochte hain aksar kahan aa gae KHushi mein

    ki ye din guzar rahe hain jo hisar-e-be-KHudi mein

    ye safar hai aarzu ka yahan dhup-chhanw bhi hai

    kabhi dil mein raushni hai kabhi dil hai raushni mein

    wahi denge ab ujala tere qalb be-KHabar ko

    jo charagh jal uThe hain meri sham-e-zindagi mein

    mujhe e'tibar-e-ulfat tumhein hai yaqin mera

    koi mil saka na tum sa mujhe sari zindagi mein

    tere sath hai kuchh aisa meri juraton ka aalam

    koi Dar hai zindagi mein na hai KHauf koi ji mein

    tera nam paDh rahi hun tera nam likh rahi hun

    main tujhe samo rahi hun mere zauq-e-shairi mein

    meri zat ko sajaane koi aaina na dena

    mera husn jalwa-gar hai abhi 'taj' sadgi mein

    Source:

    Phool Ghazal Ke (Pg. 58)

    • Author: Fatima Taj
      • Publisher: Fatima Taj
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now