Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahin gird-o-nawah mein gunjti hai mere qurb-o-jawar se phuTti hai

Shahid Makuli

yahin gird-o-nawah mein gunjti hai mere qurb-o-jawar se phuTti hai

Shahid Makuli

MORE BYShahid Makuli

    yahīñ gird-o-navāh meñ gūñjtī hai mire qurb-o-javār se phūTtī hai

    koī dūr-darāz chaap nahīñ jo sukūt ke paar se phūTtī hai

    ye jahān-e-majāz hai aks-numā kisī aur jahāñ haqīqatoñ

    yahāñ chāñd ubhartā hai pāniyoñ se dhanak ā.ina-zār se phūTtī hai

    vahāñ saarī shaguft tazād se hai jahāñ hairateñ oḌh ke ghūmtā huuñ

    kahīñ phuul chaTān se phūTtā hai kahīñ aag chinār se phūTtī hai

    na shumāl-o-junūb meñ dekhtā huuñ na tulū-o-ġhurūb meñ dekhtā huuñ

    maiñ vo barq qulūb meñ dekhtā huuñ jo tajallī-e-yār se phūTtī hai

    tire arz-o-samā meñ jo garmiyāñ haiñ vo usī nufūz-pazīriyāñ haiñ

    ye jo mauj-e-harārat umaDtī huī mire dil ke buḳhār se phūTtī hai

    liye baiThe haiñ aa.ina tīrgī meñ abhī chashm-ba-rāh haiñ dekhte haiñ

    pas-o-pesh se phūTtī hai vo kiran ki yamīn-o-yasār se phūTtī hai

    kahīñ vādī-e-nūr meñ ruuh ke saaz pe hamdiya giit alāptā huuñ

    koī jharne ek nashātiya dhun mirī sub.h ke taar se phūTtī hai

    ye to 'aks hazār shu'ā'oñ ke haiñ jo ki ek 'aks meñ Dhal ga.e haiñ

    ka.ī shams-o-nujūm raushnī hai jo hamāre ġhubār se phūTtī hai

    yahin gird-o-nawah mein gunjti hai mere qurb-o-jawar se phuTti hai

    koi dur-daraaz ki chap nahin jo sukut ke par se phuTti hai

    ye jahan-e-majaz hai aks-numa kisi aur jahan ki haqiqaton ka

    yahan chand ubharta hai paniyon se dhanak aaina-zar se phuTti hai

    wahan sari shaguft tazad se hai jahan hairaten oDh ke ghumta hun

    kahin phul chaTan se phuTta hai kahin aag chinar se phuTti hai

    na shumal-o-junub mein dekhta hun na tulu-o-ghurub mein dekhta hun

    main wo barq qulub mein dekhta hun jo tajalli-e-yar se phuTti hai

    tere arz-o-sama mein jo garmiyan hain wo usi ki nufuz-paziriyan hain

    ye jo mauj-e-hararat umaDti hui mere dil ke buKHar se phuTti hai

    liye baiThe hain aaina tirgi mein abhi chashm-ba-rah hain dekhte hain

    pas-o-pesh se phuTti hai wo kiran ki yamin-o-yasar se phuTti hai

    kahin wadi-e-nur mein ruh ke saz pe hamdiya git alapta hun

    koi jharne si ek nashatiya dhun meri subh ke tar se phuTti hai

    ye to 'aks hazar shu'a'on ke hain jo ki ek hi 'aks mein Dhal gae hain

    kai shams-o-nujum ki raushni hai jo hamare ghubar se phuTti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now