Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaksan sabhi ka haal nahin hai to kyon nahin

Saadat Aabidi

yaksan sabhi ka haal nahin hai to kyon nahin

Saadat Aabidi

MORE BYSaadat Aabidi

    yaksāñ sabhī haal nahīñ hai to kyoñ nahīñ

    tujh ko jo ye ḳhayāl nahīñ hai to kyoñ nahīñ

    tanqīd-o-tanz sabhī zarboñ ke bāvajūd

    shīshoñ meñ koī baal nahīñ hai to kyoñ nahīñ

    ā.īnoñ ko dikhā sakeñ be-ḳhauf aa.ina

    logoñ meñ ye majāl nahīñ hai to kyoñ nahīñ

    bas ek savāl masīhā-e-vaqt se

    zaḳhmoñ indimāl nahīñ hai to kyoñ nahīñ

    dhoke daġhā fareb siyāsat ko kyoñ uruuj

    shā.ir ko ye ḳhayāl nahīñ hai to kyoñ nahīñ

    holī to aa.ī hai vahī lekin hai baat kyā

    chehroñ pe vo gulāl nahīñ hai to kyoñ nahīñ

    kuchh fikr ho to tujh ko 'sa.ādat' ye fikr ho

    terī koī misāl nahīñ hai to kyoñ nahīñ

    yaksan sabhi ka haal nahin hai to kyon nahin

    tujh ko jo ye KHayal nahin hai to kyon nahin

    tanqid-o-tanz ki sabhi zarbon ke bawajud

    shishon mein koi baal nahin hai to kyon nahin

    aainon ko dikha saken be-KHauf aaina

    logon mein ye majal nahin hai to kyon nahin

    bas ek hi sawal masiha-e-waqt se

    zaKHmon ka indimal nahin hai to kyon nahin

    dhoke dagha fareb siyasat ko kyon uruj

    shair ko ye KHayal nahin hai to kyon nahin

    holi to aai hai wahi lekin hai baat kya

    chehron pe wo gulal nahin hai to kyon nahin

    kuchh fikr ho to tujh ko 'saadat' ye fikr ho

    teri koi misal nahin hai to kyon nahin

    Source:

    (Pg. 73)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now