Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaqin-e-subh-e-chaman hai kitna shuur-e-abr-e-bahaar kya hai

Arshi Bhopali

yaqin-e-subh-e-chaman hai kitna shuur-e-abr-e-bahaar kya hai

Arshi Bhopali

MORE BYArshi Bhopali

    yaqīn-e-sub.h-e-chaman hai kitnā shu.ūr-e-abr-e-bahār kyā hai

    savāl karte haiñ dasht-o-dariyā ki qāfile vaqār kyā hai

    jo chal paḌe jāda-e-vafā par unheñ ġham-e-rozgār kyā hai

    sa.ūbatoñ ke pahāḌ kyā haiñ tamāzatoñ ġhubār kyā hai

    yahīñ pe manzil kareñge raahī yahīñ pe sab qāfile rukeñge

    Thahar zarā shauq-e-sabr dushman ye dard be-iḳhtiyār kyā hai

    nasīb-e-fardā pe shādmāñ haiñ junūñ ke māroñ se koī pūchhe

    ye kyuuñ girebāñ hai TukḌe TukḌe ye dāman-e-tār taar kyā hai

    na un jaada na koī manzil na nūr-o-zulmat farq jāneñ

    unheñ ḳhabar kyā ki hai sahar kyā añdherī shab ḳhumār kyā hai

    yaqin-e-subh-e-chaman hai kitna shuur-e-abr-e-bahaar kya hai

    sawal karte hain dasht-o-dariya ki qafile ka waqar kya hai

    jo chal paDe jada-e-wafa par unhen gham-e-rozgar kya hai

    saubaton ke pahaD kya hain tamazaton ka ghubar kya hai

    yahin pe manzil karenge rahi yahin pe sab qafile rukenge

    Thahar zara shauq-e-sabr dushman ye dard be-iKHtiyar kya hai

    nasib-e-farda pe shadman hain junun ke maron se koi puchhe

    ye kyun gireban hai TukDe TukDe ye daman-e-tar tar kya hai

    na un ka jada na koi manzil na nur-o-zulmat ka farq jaanen

    unhen KHabar kya ki hai sahar kya andheri shab ka KHumar kya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now