Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaqin had se baDha tha guman se pahle

Tajdar Adil

yaqin had se baDha tha guman se pahle

Tajdar Adil

MORE BYTajdar Adil

    yaqīn had se baḌhā thā gumān se pahle

    jabīñ pe zaḳhm sajā thā nishān se pahle

    use bhulāne ke raste meñ kitnī yādeñ thiiñ

    shadīd dhuup milī sā.ebān se pahle

    phir us ke ba.ad havāoñ se jang kartā rahā

    diyā jalā thā baḌī ān-bān se pahle

    mire ḳhilāf muqābil na thā munāfiq thā

    javāb DhūñDh rahā thā bayān se pahle

    natīja us ke haq meñ hai ab mohabbat

    jo saath chhoḌ gayā imtihān se pahle

    charāġh-e-shām sūrat meñ us yaad aa.ī

    añdhere phailte jaate the shaan se pahle

    tamām shahr ne izzat usī se hāsil

    jo rasm aa.ī hamāre makān se pahle

    dayār-e-jāñ pe bhī kuchh bārish-e-karam ho jaa.e

    basāo dil bhī kisī makān se pahle

    shikasta dil ke liye the jo aasrā 'ādil'

    vo taare TuuT ga.e āsmān se pahle

    yaqin had se baDha tha guman se pahle

    jabin pe zaKHm saja tha nishan se pahle

    use bhulane ke raste mein kitni yaaden thin

    shadid dhup mili saeban se pahle

    phir us ke baad hawaon se jang karta raha

    diya jala tha baDi aan-ban se pahle

    mere KHilaf muqabil na tha munafiq tha

    jawab DhunDh raha tha bayan se pahle

    natija us ke hi haq mein hai ab mohabbat ka

    jo sath chhoD gaya imtihan se pahle

    charagh-e-sham ki surat mein us ki yaad aai

    andhere phailte jate the shan se pahle

    tamam shahr ne izzat usi se hasil ki

    jo rasm aai hamare makan se pahle

    dayar-e-jaan pe bhi kuchh barish-e-karam ho jae

    basao dil bhi kisi ka makan se pahle

    shikasta dil ke liye the jo aasra 'adil'

    wo tare TuT gae aasman se pahle

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now