Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaqin jata raha eatibar KHatm hua

Faisal Imam Rizvi

yaqin jata raha eatibar KHatm hua

Faisal Imam Rizvi

MORE BYFaisal Imam Rizvi

    yaqīn jaatā rahā e.atibār ḳhatm huā

    tumhāre ishq saarā ḳhumār ḳhatm huā

    kahāñ se lā.ūñ vo hangāma-hā-e-ishq-o-junūñ

    vo sho.ala-āsā dil-e-be-qarār ḳhatm huā

    nikal rahā huuñ tire halqa-e-mohabbat se

    ki gard baiTh chukī aur ġhubār ḳhatm huā

    jahāñ bahāreñ thiiñ apnoñ chahchahāhaT thī

    vo be-charāġh paḌā sabza-zār ḳhatm huā

    lagā ke aag ka.ī mehrbān chalte bane

    hamāre shahr sab kārobār ḳhatm huā

    ḳhizāñ daur hai shāḳhoñ pe barg-o-bār nahīñ

    tumhāre jaate ahd-e-bahār ḳhatm huā

    yaqin jata raha eatibar KHatm hua

    tumhaare ishq ka sara KHumar KHatm hua

    kahan se laun wo hangama-ha-e-ishq-o-junun

    wo shoala-asa dil-e-be-qarar KHatm hua

    nikal raha hun tere halqa-e-mohabbat se

    ki gard baiTh chuki aur ghubar KHatm hua

    jahan bahaaren thin apnon ki chahchahahaT thi

    wo be-charagh paDa sabza-zar KHatm hua

    laga ke aag kai mehrban chalte bane

    hamare shahr ka sab karobar KHatm hua

    KHizan ka daur hai shaKHon pe barg-o-bar nahin

    tumhaare jate hi ahd-e-bahaar KHatm hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now