Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaqin jis ka hai wo baat bhi guman hi lage

J. P. Saeed

yaqin jis ka hai wo baat bhi guman hi lage

J. P. Saeed

MORE BYJ. P. Saeed

    yaqīn jis hai vo baat bhī gumāñ lage

    vo mehrbān hai lekin balā-e-jāñ lage

    ham itnī martaba guzre haiñ āzmā.ish se

    vo sīdhī baat bhī pūchhe to imtihāñ lage

    taras ga.e haiñ ki khul kar kisī se baat kareñ

    har āshnā hameñ ġhairoñ rāzdāñ lage

    ho jaise kaifiyat-e-dil aa.ina manzar

    vo ham-safar ho to sahrā bhī gulsitāñ lage

    maiñ jaise markazī kirdār huuñ kahānī

    koī fasāna ho vo merī dāstāñ lage

    tire ḳhayāl se nisbat ab ye 'ālam hai

    kahīñ jhukā.ūñ jabīñ terā āstāñ lage

    mire vatan ke sabhī log chāñd-tāre haiñ

    zamīn us mujhe jaise āsmāñ lage

    'sa.īd' bād-e-samā.at navā-e-mutrib hai

    ḳhushī giit bhī ab naġhma-e-fuġhāñ lage

    yaqin jis ka hai wo baat bhi guman hi lage

    wo mehrban hai lekin bala-e-jaan hi lage

    hum itni martaba guzre hain aazmaish se

    wo sidhi baat bhi puchhe to imtihan hi lage

    taras gae hain ki khul kar kisi se baat karen

    har aashna hamein ghairon ka raazdan hi lage

    ho jaise kaifiyat-e-dil ka aaina manzar

    wo ham-safar ho to sahra bhi gulsitan hi lage

    main jaise markazi kirdar hun kahani ka

    koi fasana ho wo meri dastan hi lage

    tere KHayal se nisbat ka ab ye 'alam hai

    kahin jhukaun jabin tera aastan hi lage

    mere watan ke sabhi log chand-tare hain

    zamin us ki mujhe jaise aasman hi lage

    'said' baad-e-samaat nawa-e-mutrib hai

    KHushi ka git bhi ab naghma-e-fughan hi lage

    Source:

    Shakh-e-Gul (Pg. 34)

    • Author: Qazi Gaus Muhiuddin Ahmed Siddique
      • Edition: 2007
      • Publisher: Matla-e-adab Publisher
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now