Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaqin ki had se jo nikle guman tak pahunche

Hina Rizwi

yaqin ki had se jo nikle guman tak pahunche

Hina Rizwi

MORE BYHina Rizwi

    yaqīñ had se jo nikle gumān tak pahuñche

    taḳhayyulāt ūñchī uḌaan tak pahuñche

    use bhī thoḌā ehsās-e-zulm ho jaa.e

    palaT ke tiir koī gar kamān tak pahuñche

    na vo paḌh sakā āñkhoñ meñ merī haal merā

    na lafz dil ke merī zabān tak pahuñche

    bhalā ye fan hai ke hāsil riyāz se ho jaa.e

    kabhī to koī du'ā āsmān tak pahuñche

    'ajab be-hisī miTTī ke is makān meñ thī

    so jism chhoḌ diyā lā-makān tak pahuñche

    kitāb-e-zīst ke aurāq khul uThe jis dam

    vo paḌhte paḌhte mirī dāstān tak pahuñche

    yaqin ki had se jo nikle guman tak pahunche

    taKHayyulat ki unchi uDan tak pahunche

    use bhi thoDa sa ehsas-e-zulm ho jae

    palaT ke tir koi gar kaman tak pahunche

    na wo hi paDh saka aankhon mein meri haal mera

    na lafz dil ke hi meri zaban tak pahunche

    bhala ye fan hai ke hasil riyaz se ho jae

    kabhi to koi du'a aasman tak pahunche

    'ajab si be-hisi miTTi ke is makan mein thi

    so jism chhoD diya la-makan tak pahunche

    kitab-e-zist ke auraq khul uThe jis dam

    wo paDhte paDhte meri dastan tak pahunche

    Source:

    Word File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now