yaqin se nikal gaya guman se nikal gaya
yaqīn se nikal gayā gumān se nikal gayā
maiñ shash-jihāt ghūmtā jahān se nikal gayā
tumhāre baa'd zindagī kā haq adā na ho sakā
tumhāre baa'd maiñ bhī dāstān se nikal gayā
maiñ jal chukā to aaj sab kuredte haiñ raakh ko
maiñ jal rahā thā tab sabhī ke dhyān se nikal gayā
palaT ke dekhtā huuñ maiñ ki zindagī guzar chukī
vo tiir bhī to ab mirī kamān se nikal gayā
suḳhan meñ daad kī kashish mujhe bhī khīñchtī rahī
maiñ bach-bachā ke us ke darmiyān se nikal gayā
yaqin se nikal gaya guman se nikal gaya
main shash-jihat ghumta jahan se nikal gaya
tumhaare ba'd zindagi ka haq ada na ho saka
tumhaare ba'd main bhi dastan se nikal gaya
main jal chuka to aaj sab kuredte hain rakh ko
main jal raha tha tab sabhi ke dhyan se nikal gaya
palaT ke dekhta hun main ki zindagi guzar chuki
wo tir bhi to ab meri kaman se nikal gaya
suKHan mein dad ki kashish mujhe bhi khinchti rahi
main bach-bacha ke us ke darmiyan se nikal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.