Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaqin shart hai aur lazmi hain tadbiren

Javed Jamil

yaqin shart hai aur lazmi hain tadbiren

Javed Jamil

MORE BYJaved Jamil

    yaqīn shart hai aur lāzmī haiñ tadbīreñ

    har ek lamha badaltī raheñgī taqdīreñ

    sabhī charāġh bujhā do huā hai dil raushan

    dikhā.ī dene lagī haiñ tamām tahrīreñ

    zarā vaqt lagegā qadam uThāne meñ

    abhī abhī to kaTī haiñ saqīl zanjīreñ

    vo ḳhvāb kuchh bhī nahīñ haiñ faqat tamāshā haiñ

    vo ḳhvāb jin nahīñ jāntā maiñ ta.abīreñ

    mire qalam safar le gayā sitāroñ tak

    mire buzurg ab bhī vahī haiñ tahrīreñ

    hamārī jañg meñ 'jāved' ḳhuuñ nahīñ bahtā

    hamāre paas haiñ fikr-o-nazar shamshīreñ

    yaqin shart hai aur lazmi hain tadbiren

    har ek lamha badalti rahengi taqdiren

    sabhi charagh bujha do hua hai dil raushan

    dikhai dene lagi hain tamam tahriren

    zara sa waqt lagega qadam uThane mein

    abhi abhi to kaTi hain saqil zanjiren

    wo KHwab kuchh bhi nahin hain faqat tamasha hain

    wo KHwab jin ki nahin jaanta main tabiren

    mere qalam ka safar le gaya sitaron tak

    mere buzurg ki ab bhi wahi hain tahriren

    hamari jang mein 'jawed' KHun nahin bahta

    hamare pas hain fikr-o-nazar ki shamshiren

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now