Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye aalam-e-wahshat hai ki dahshat ka asar hai

Riyasat Ali Taj

ye aalam-e-wahshat hai ki dahshat ka asar hai

Riyasat Ali Taj

MORE BYRiyasat Ali Taj

    ye ālam-e-vahshat hai ki dahshat asar hai

    dāman ḳhabar hai na garebāñ ḳhabar hai

    dil toḌne vaale ye tujhe kuchh bhī ḳhabar hai

    allāh ghar hai are allāh ghar hai

    dekhoge jo hālāt pe thoḌī nazar hai

    har shaḳhs ġhulām-e-asar-o-banda-e-zar hai

    do-chār qadam chal ke Thaharte nahīñ rahrav

    taz.hīk-e-manāzil hai ye tauhīn-e-safar hai

    kitne uluum is meñ haiñ poshīda-o-darkār

    ye sher-o-suḳhan khel nahīñ 'tāj'-e-hunar hai

    ye aalam-e-wahshat hai ki dahshat ka asar hai

    daman ki KHabar hai na gareban ki KHabar hai

    dil toDne wale ye tujhe kuchh bhi KHabar hai

    allah ka ghar hai are allah ka ghar hai

    dekhoge jo haalat pe thoDi si nazar hai

    har shaKHs ghulam-e-asar-o-banda-e-zar hai

    do-chaar qadam chal ke Thaharte nahin rahraw

    tazhik-e-manazil hai ye tauhin-e-safar hai

    kitne hi ulum is mein hain poshida-o-darkar

    ye sher-o-suKHan khel nahin 'taj'-e-hunar hai

    Source:

    Nuqoosh-e-Hayat (Pg. 99)

    • Author: Riyasat Ali Taj
      • Edition: 1994
      • Publisher: Maktaba Sher-o-Hikmat, Hyderabad
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now