Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye aarzu agarche baid-az-qayas thi

Kazim Wasti

ye aarzu agarche baid-az-qayas thi

Kazim Wasti

MORE BYKazim Wasti

    ye aarzū agarche ba.īd-az-qayās thī

    chhaTne lagī thī dhuup ki dhund ās-pās thī

    phir yuuñ huā ke liyā ik bahr-e-be-karāñ

    jaise hamāre hoñToñ pe barsoñ pyaas thī

    khul na sakā kisī pe bhī ġham mo.āmla

    par ik nigāh thī jo bahut ġham-shanās thī

    ab ke mile to pher leñ nazreñ kuchh is tarah

    bargashtagī donoñ diloñ meñ bhaḌās thī

    ghar ke ujaaḌ sahn meñ vīrān the shajar

    patte gire hue the kahīñ sūkhī ghaas thī

    ḳhushiyoñ rahguzar ne na Tikne hameñ diyā

    bas ġham raah thī jo sarāpā-sipās thī

    ye aarzu agarche baid-az-qayas thi

    chhaTne lagi thi dhup ki dhund aas-pas thi

    phir yun hua ke pi liya ek bahr-e-be-karan

    jaise hamare honTon pe barson ki pyas thi

    khul na saka kisi pe bhi gham ka moamla

    par ek nigah thi jo bahut gham-shanas thi

    ab ke mile to pher len nazren kuchh is tarah

    bargashtagi ki donon dilon mein bhaDas thi

    ghar ke ujaD sahn mein viran the shajar

    patte gire hue the kahin sukhi ghas thi

    KHushiyon ki rahguzar ne na Tikne hamein diya

    bas gham ki rah thi jo sarapa-sipas thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now