ye aish-o-ishrat-o-masti nasib-e-shah mein hai
ye 'aish-o-'ishrat-o-mastī nasīb-e-shāh meñ hai
ġharīb-e-shahr bhalā kab jalāl-o-jāh meñ hai
hai āsmāñ se pare kā mirā safar shāyad
jo māvarā-e-falak ab mirī nigāh meñ hai
kabhī Thahar jā mire paas bhī mire hamdam
ġharīb-ḳhāna mirā bhī to terī raah meñ hai
salīb-o-nok-e-sināñ aur kisī ko rusvā.ī
junūñ azal se mulavvis isī gunāh meñ hai
jo ek shaḳhs mirā jāñ-nisār thā 'mīsam'
vo ek shaḳhs bhī ab us taraf sipāh meñ hai
ye 'aish-o-'ishrat-o-masti nasib-e-shah mein hai
gharib-e-shahr bhala kab jalal-o-jah mein hai
hai aasman se pare ka mera safar shayad
jo mawara-e-falak ab meri nigah mein hai
kabhi Thahar ja mere pas bhi mere hamdam
gharib-KHana mera bhi to teri rah mein hai
salib-o-nok-e-sinan aur kisi ko ruswai
junun azal se mulawwis isi gunah mein hai
jo ek shaKHs mera jaan-nisar tha 'misam'
wo ek shaKHs bhi ab us taraf sipah mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.