ye aks aap hi bante hain humse milte hain
ye aks aap hī bante haiñ ham se milte haiñ
ki nāḳhunoñ ke baġhair apne zaḳhm chhilte haiñ
ḳhabar milī hai ki tū ḳhvāb dekhtī hai abhī
ḳhabar milī hai tirī samt phuul khilte haiñ
hameñ ye vaqt kī baḳhiya-garī pasand nahīñ
agarche vaqt ke hāthoñ se zaḳhm silte haiñ
hamārī 'umr se baḌh kar ye bojh Daalā gayā
so ham baḌoñ se buzurgoñ kī tarah milte haiñ
kisī ko ḳhvāb meñ aksar pukārā jaatā hai
'atā' isī liye sote meñ hoñT hilte haiñ
ye aks aap hi bante hain hum se milte hain
ki naKHunon ke baghair apne zaKHm chhilte hain
KHabar mili hai ki tu KHwab dekhti hai abhi
KHabar mili hai teri samt phul khilte hain
hamein ye waqt ki baKHiya-gari pasand nahin
agarche waqt ke hathon se zaKHm silte hain
hamari 'umr se baDh kar ye bojh Dala gaya
so hum baDon se buzurgon ki tarah milte hain
kisi ko KHwab mein aksar pukara jata hai
'ata' isi liye sote mein honT hilte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.