Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye arman jab tak machalte rahenge

Monika Sharma Sarthi

ye arman jab tak machalte rahenge

Monika Sharma Sarthi

MORE BYMonika Sharma Sarthi

    ye armān jab tak machalte raheñge

    hazāroñ ġham dil meñ palte raheñge

    sadā haath sachchā.ī ham ne thāmā

    ḳhabar kyā thī baazū galte raheñge

    salāmat raheñgī ye sāñseñ jahāñ tak

    nigāhoñ meñ ham sab khalte raheñge

    siyāsat baazī vatan noch legī

    kafan uf shahīdoñ ke Dhalte raheñge

    bahut talḳh lahja hai duniyā yaaro

    kahāñ tak bhalā yuuñ jalte raheñge

    nasīboñ se milte haiñ ġham ye samajh kar

    faqat ḳhud ko ḳhud se chhalte raheñge

    kabhī 'sārthī' qadam roknā mat

    ye chhāle to yuuñ ubalte raheñge

    ye arman jab tak machalte rahenge

    hazaron hi gham dil mein palte rahenge

    sada hath sachchai ka hum ne thama

    KHabar kya thi bazu hi galte rahenge

    salamat rahengi ye sansen jahan tak

    nigahon mein hum sab ki khalte rahenge

    siyasat ki bazi watan noch legi

    kafan uf shahidon ke Dhalte rahenge

    bahut talKH lahja hai duniya ka yaro

    kahan tak bhala yun hi jalte rahenge

    nasibon se milte hain gham ye samajh kar

    faqat KHud ko KHud se hi chhalte rahenge

    kabhi 'sarthi' tu qadam rokna mat

    ye chhaale to yun hi ubalte rahenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now