aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye aur baat ki rang-e-bahaar kam hoga

Aanis Moin

ye aur baat ki rang-e-bahaar kam hoga

Aanis Moin

MORE BYAanis Moin

    ye aur baat ki rañg-e-bahār kam hogā

    na.ī rutoñ meñ daraḳhtoñ baar kam hogā

    ta.alluqāt meñ aa.ī hai bas ye tabdīlī

    mileñge ab bhī magar intizār kam hogā

    maiñ sochtā rahā kal raat baiTh kar tanhā

    ki is hujūm meñ merā shumār kam hogā

    palaT to aa.egā shāyad kabhī yahī mausam

    tire baġhair magar ḳhush-gavār kam hogā

    bahut tavīl hai 'ānas' ye zindagī safar

    bas ek shaḳhs pe dār-o-madār kam hogā

    ye aur baat ki rang-e-bahaar kam hoga

    nai ruton mein daraKHton ka bar kam hoga

    talluqat mein aai hai bas ye tabdili

    milenge ab bhi magar intizar kam hoga

    main sochta raha kal raat baiTh kar tanha

    ki is hujum mein mera shumar kam hoga

    palaT to aaega shayad kabhi yahi mausam

    tere baghair magar KHush-gawar kam hoga

    bahut tawil hai 'anas' ye zindagi ka safar

    bas ek shaKHs pe dar-o-madar kam hoga

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ye aur baat ki rang-e-bahaar kam hoga Nomaan Shauque

    Source:

    Muallim-e-urdu(Lucknow) (Pg. 32)

    • Author: Izhar Ahmad
      • Edition:  February-1992
      • Publisher: Published by Izhar ahmad Editor,and publisher at the Shagufta printers Lucknow & Distributed simmam Publication 499/129 Hasanganj lucknow-226020
      • Year of Publication:  February-1992
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now