Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye bahaar wo hai jahan rahi asar-e-KHizan se bari rahi

Ilyas Ishqi

ye bahaar wo hai jahan rahi asar-e-KHizan se bari rahi

Ilyas Ishqi

MORE BYIlyas Ishqi

    ye bahār vo hai jahāñ rahī asar-e-ḳhizāñ se barī rahī

    jo salīb-o-dār meñ Dhal ga.ī vahī chob-e-ḳhushk harī rahī

    milī jab kabhī ḳhabar-e-jahāñ to jahāñ se be-ḳhabarī rahī

    kisī aur se nahīñ kuchh gila ḳhajil apnī dīda-varī rahī

    vahī ik ḳharābī-e-be-karāñ jo tire jahāñ nasīb hai

    isī rust-o-ḳhez se aaj tak mire dil meñ be-ḳhatarī rahī

    mirī zindagī urūs-e-nau tujhe is koī ḳhabar bhī hai

    vo thī kis surḳhī-e-ḳhūn-e-dil tirī maañg meñ jo bharī rahī

    koī qarya koī dayār ho kahīñ ham akele nahīñ rahe

    tirī justujū meñ jahāñ ga.e vahīñ saath dar-badarī rahī

    vahī aag apnā nasīb thī ki tamām umr jalā kiye

    jo lagā.ī thī kabhī ishq ne vahī aag dil meñ bharī rahī

    vahī ik sadāqat-e-harf thī khilī phuul ban ke jo aag meñ

    vahī ik dalīl-e-hayāt thī jo gavāh-e-bā-ḳhabarī rahī

    na asar fusūñ koī kar sakā na vo mere dil meñ utar sakā

    koī aks na ubhar sakā rahā shīsha aur na parī rahī

    maiñ halāk-e-lazzat-e-guftugū sahī magar ise kyā karūñ

    jo farāz-e-dār se ga.ī vahī ek baat kharī rahī

    hunar aaj 'ishqī'-e-be-navā ḳhajil hai rūh-e-'sirāj' se

    vahī ik ḳhalish jo matā-e-fan thī subūt-e-be-hunarī rahī

    ye bahaar wo hai jahan rahi asar-e-KHizan se bari rahi

    jo salib-o-dar mein Dhal gai wahi chob-e-KHushk hari rahi

    mili jab kabhi KHabar-e-jahan to jahan se be-KHabari rahi

    kisi aur se nahin kuchh gila KHajil apni dida-wari rahi

    wahi ek KHarabi-e-be-karan jo tere jahan ka nasib hai

    isi rust-o-KHez se aaj tak mere dil mein be-KHatari rahi

    meri zindagi ki urus-e-nau tujhe is ki koi KHabar bhi hai

    wo thi kis ki surKHi-e-KHun-e-dil teri mang mein jo bhari rahi

    koi qarya koi dayar ho kahin hum akele nahin rahe

    teri justuju mein jahan gae wahin sath dar-badari rahi

    wahi aag apna nasib thi ki tamam umr jala kiye

    jo lagai thi kabhi ishq ne wahi aag dil mein bhari rahi

    wahi ek sadaqat-e-harf thi khili phul ban ke jo aag mein

    wahi ek dalil-e-hayat thi jo gawah-e-ba-KHabari rahi

    na asar fusun koi kar saka na wo mere dil mein utar saka

    koi aks hi na ubhar saka raha shisha aur na pari rahi

    main halak-e-lazzat-e-guftugu hi sahi magar ise kya karun

    jo faraaz-e-dar se ki gai wahi ek baat khari rahi

    hunar aaj 'ishqi'-e-be-nawa ka KHajil hai ruh-e-'siraj' se

    wahi ek KHalish jo mata-e-fan thi subut-e-be-hunari rahi

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ilyas Ishqi

    Ilyas Ishqi

    Source:

    Monthly Usloob (Pg. 367)

    • Author: Mushfiq Khawaja
      • Edition: Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
      • Publisher: Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi   180007
      • Year of Publication: Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now