Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye bhi koi baat ki sirf tamasha kar

Mohammad Ahmad Ramz

ye bhi koi baat ki sirf tamasha kar

Mohammad Ahmad Ramz

MORE BYMohammad Ahmad Ramz

    ye bhī koī baat ki sirf tamāshā kar

    bech rahā huuñ jins-e-dil-o-jāñ saudā kar

    merī ḳhalvat kuchh hañgāme rakhtī hai

    aur bhī log aate haiñ bhī aayā kar

    apnī nisbat ezaaz na mujh se chhīn

    jitnā chāhe mujh ko rusvā kar

    tujh ko apne saath Dubone vaalā maiñ

    mere liye ek ek se mat uljhā kar

    maiñ bhī dekhūñ tiir pe ram zanjīr pe raqs

    kuchh to vahshat mere ġhazāl-e-ra.anā kar

    ghol de hijr ke rañgoñ meñ kuchh dil lahū

    koī naqsh to us yaad zinda kar

    dekh apnī āñkhoñ se ravāñ asr-e-umar

    'ramz' apne kufr-e-anā se tauba kar

    ye bhi koi baat ki sirf tamasha kar

    bech raha hun jins-e-dil-o-jaan sauda kar

    meri KHalwat kuchh hangame rakhti hai

    aur bhi log aate hain tu bhi aaya kar

    apni nisbat ka ezaz na mujh se chhin

    jitna ji chahe tu mujh ko ruswa kar

    tujh ko apne sath Dubone wala main

    mere liye ek ek se tu mat uljha kar

    main bhi dekhun tir pe ram zanjir pe raqs

    kuchh to wahshat mere ghazal-e-rana kar

    ghol de hijr ke rangon mein kuchh dil ka lahu

    koi naqsh to us ki yaad ka zinda kar

    dekh apni aankhon se rawan asr-e-umar

    'ramz' apne kufr-e-ana se tauba kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now