Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye bhi nahin ki un se mohabbat nahin rahi

Rishi Patialvi

ye bhi nahin ki un se mohabbat nahin rahi

Rishi Patialvi

MORE BYRishi Patialvi

    ye bhī nahīñ ki un se mohabbat nahīñ rahī

    ye bhī hai sach ki diid hasrat nahīñ rahī

    dil un is adā se bhī mānūs ho gayā

    ab jaur-e-be-ruḳhī shikāyat nahīñ rahī

    donoñ badalte vaqt ke sāñche meñ Dhal ga.e

    vo dil nahīñ rahā vo tabī.at nahīñ rahī

    kyā dekhte haiñ dekh ke pesh-e-nazar unheñ

    goyā nigah meñ diid tāqat nahīñ rahī

    ab ḳhvāb meñ un se mulāqāt ho to ho

    milne un aur to sūrat nahīñ rahī

    jab kuchh na the ḳhayāl thā nām-o-numūd

    ab kuchh hue to ḳhvāhish-e-shohrat nahīñ rahī

    sad-haif zarf valvala-e-dil ke bāvajūd

    pahlī vo jasārat-o-jur.at nahīñ rahī

    insāniyat ke naam charchā to hai magar

    insāniyat amal se ibārat nahīñ rahī

    dekh ai 'rishī' kamāl-e-fusūn-e-jadīdiyat

    ab ehtirām-e-fan zarūrat nahīñ rahī

    ye bhi nahin ki un se mohabbat nahin rahi

    ye bhi hai sach ki did ki hasrat nahin rahi

    dil un ki is ada se bhi manus ho gaya

    ab jaur-e-be-ruKHi ki shikayat nahin rahi

    donon badalte waqt ke sanche mein Dhal gae

    wo dil nahin raha wo tabiat nahin rahi

    kya dekhte hain dekh ke pesh-e-nazar unhen

    goya nigah mein did ki taqat nahin rahi

    ab KHwab hi mein un se mulaqat ho to ho

    milne ki un ki aur to surat nahin rahi

    jab kuchh na the KHayal tha nam-o-numud ka

    ab kuchh hue to KHwahish-e-shohrat nahin rahi

    sad-haif zarf walwala-e-dil ke bawajud

    pahli si wo jasarat-o-jurat nahin rahi

    insaniyat ke nam ka charcha to hai magar

    insaniyat amal se ibarat nahin rahi

    dekh ai 'rishi' kamal-e-fusun-e-jadidiyat

    ab ehtiram-e-fan ki zarurat nahin rahi

    Source:

    Chhid Gai Jo Bat Unki (Pg. 56)

    • Author: Rishi Patialvi
      • Edition: 1980
      • Publisher: Jamal Printing Press, Delhi
      • Year of Publication: 1980
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now