ye bhī sach hai ki sar nahīñ rahnā
is zabāñ ne magar nahīñ rahnā
ab to chup huuñ ki ruuTh jāoge
phir mujhe ye bhī Dar nahīñ rahnā
maiñ bhī de lūñgā hausla ḳhud ko
tum bhī jaao agar nahīñ rahnā
hoñge jab dekhne ke laa.eq ham
koī ahl-e-nazar nahīñ rahnā
hai ḳhudā kā nizām ḳhatre meñ
is bashar ne bashar nahīñ rahnā
ye bhi sach hai ki sar nahin rahna
is zaban ne magar nahin rahna
ab to chup hun ki ruTh jaoge
phir mujhe ye bhi Dar nahin rahna
main bhi de lunga hausla KHud ko
tum bhi jao agar nahin rahna
honge jab dekhne ke laeq hum
koi ahl-e-nazar nahin rahna
hai KHuda ka nizam KHatre mein
is bashar ne bashar nahin rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.