Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye bhuke log jis din ghar se saDkon par nikal aae

Saadat Aabidi

ye bhuke log jis din ghar se saDkon par nikal aae

Saadat Aabidi

MORE BYSaadat Aabidi

    ye bhūke log jis din ghar se saḌkoñ par nikal aa.e

    karoge kyā agar in be-paroñ ke par nikal aa.e

    bahut hushiyār logo is na.ī tārīḳh ke hāthoñ

    na jaane kab tumhārā ghar kisī ghar nikal aa.e

    kahīñ ke phuul patte haiñ kahīñ ke phal kahīñ ke haiñ

    ajab se peḌ ab bhārat dhartī par nikal aa.e

    jahāñ sab bik rahā ho us jagah aisā bhī mumkin hai

    mire qatl ilzām mere sar nikal aa.e

    dar-e-taqdīs ko jab kiyā to qasr-e-hurmat se

    batā.ūñ kis zabāñ se kitne saudāgar nikal aa.e

    tumhārā aur tumhāre nazm us roz kyā hogā

    kabhī sochā hai dīvāroñ meñ jis din dar nikal aa.e

    'sa.ādat' aap is dīda-varoñ bhiiḌ meñ DhūñDeñ

    bahut mumkin hai in meñ koī dīda-var nikal aa.e

    ye bhuke log jis din ghar se saDkon par nikal aae

    karoge kya agar in be-paron ke par nikal aae

    bahut hushiyar logo is nai tariKH ke hathon

    na jaane kab tumhaara ghar kisi ka ghar nikal aae

    kahin ke phul patte hain kahin ke phal kahin ke hain

    ajab se peD ab bhaarat ki dharti par nikal aae

    jahan sab bik raha ho us jagah aisa bhi mumkin hai

    mere hi qatl ka ilzam mere sar nikal aae

    dar-e-taqdis ko jab wa kiya to qasr-e-hurmat se

    bataun kis zaban se kitne saudagar nikal aae

    tumhaara aur tumhaare nazm ka us roz kya hoga

    kabhi socha hai diwaron mein jis din dar nikal aae

    'saadat' aap is dida-waron ki bhiD mein DhunDen

    bahut mumkin hai in mein koi dida-war nikal aae

    Source:

    Takhayyul (Pg. 54)

    • Author: Saadat Aabidi
      • Publisher: Saadat Aabidi
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now