Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye dana-e-hawas tumhein haram kyun nahin raha

Irfan Waheed

ye dana-e-hawas tumhein haram kyun nahin raha

Irfan Waheed

MORE BYIrfan Waheed

    ye dāna-e-havas tumheñ harām kyuuñ nahīñ rahā

    uḌaan vo shauq zer-e-dām kyuuñ nahīñ rahā

    masāfatoñ phir vo ehtimām kyuuñ nahīñ rahā

    safar darūn-e-zāt be-qayām kyuuñ nahīñ rahā

    bikhar ga.ī hai shab to tīrgī raaj kyuuñ nahīñ

    jo baam par thā vo mah-e-tamām kyuuñ nahīñ rahā

    hamāre qatl par usūl-e-qatl-gah kuchh lihāz

    salīb-o-dār bhī ehtimām kyuuñ nahīñ rahā

    bhalā ye kaise maan leñ ki dil ko saaf kar liyā

    jo sulh ho ga.ī to phir kalām kyuuñ nahīñ rahā

    jo sho.abde the tere pīr-e-vaqt un kyā huā

    atā-e-husn-o-ishq par davām kyuuñ nahīñ rahā

    jo pairav-e-havā-e-nafs-o-banda-e-havas huā

    use ye ġham vo vaqt imaam kyuuñ nahīñ rahā

    diloñ ko jītne jo karāmateñ thiiñ kyā huiiñ

    nazar nazar jo faiz thā vo aam kyuuñ nahīñ rahā

    ye dana-e-hawas tumhein haram kyun nahin raha

    uDan ka wo shauq zer-e-dam kyun nahin raha

    masafaton ka phir wo ehtimam kyun nahin raha

    safar darun-e-zat be-qayam kyun nahin raha

    bikhar gai hai shab to tirgi ka raj kyun nahin

    jo baam par tha wo mah-e-tamam kyun nahin raha

    hamare qatl par usul-e-qatl-gah ka kuchh lihaz

    salib-o-dar ka bhi ehtimam kyun nahin raha

    bhala ye kaise man len ki dil ko saf kar liya

    jo sulh ho gai to phir kalam kyun nahin raha

    jo shoabde the tere pir-e-waqt un ka kya hua

    ata-e-husn-o-ishq par dawam kyun nahin raha

    jo pairaw-e-hawa-e-nafs-o-banda-e-hawas hua

    use ye gham wo waqt ka imam kyun nahin raha

    dilon ko jitne ki jo karamaten thin kya huin

    nazar nazar jo faiz tha wo aam kyun nahin raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now