Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye daur-e-taraqqi hai rifat ka zamana hai

Seemab Akbarabadi

ye daur-e-taraqqi hai rifat ka zamana hai

Seemab Akbarabadi

MORE BYSeemab Akbarabadi

    ye daur-e-taraqqī hai rif.at zamāna hai

    zarroñ ko uThānā hai tāroñ se milānā hai

    āġhosh-e-tasavvur hai aur naqsh-e-jamīl un

    duurī hai na majbūrī aanā hai na jaanā hai

    nairañg-e-mohabbat hai har raaz mire dil

    chup huuñ to haqīqat hai kah duuñ to fasānā hai

    armān-e-tajallī kotāh bhī kar qissa

    ai dost tujhe āḳhir ik din nazar aanā hai

    kyā sho.abada-sāmāñ hai 'sīmāb' zamāna bhī

    har shaḳhs samajhtā hai merā zamāna hai

    ye daur-e-taraqqi hai rifat ka zamana hai

    zarron ko uThana hai taron se milana hai

    aaghosh-e-tasawwur hai aur naqsh-e-jamil un ka

    duri hai na majburi aana hai na jaana hai

    nairang-e-mohabbat hai har raaz mere dil ka

    chup hun to haqiqat hai kah dun to fasana hai

    arman-e-tajalli ka kotah bhi kar qissa

    ai dost tujhe aaKHir ek din nazar aana hai

    kya shoabada-saman hai 'simab' zamana bhi

    har shaKHs samajhta hai mera hi zamana hai

    Source:

    Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 251)

    • Author: Hasrat Mohani
      • Edition: 1983
      • Publisher: uttar pradesh urdu academy
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now