Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye dhund ye ghubar chhaTe to pata chale

Shoaib Nizam

ye dhund ye ghubar chhaTe to pata chale

Shoaib Nizam

MORE BYShoaib Nizam

    ye dhund ye ġhubār chhaTe to patā chale

    sūraj haal raat kaTe to patā chale

    chehroñ ke ḳhad-o-ḳhāl salāmat haiñ nahīñ

    ab ā.inoñ se gard haTe to patā chale

    zulmat ke kārobār meñ us bhī ek din

    chehra ġhubār-e-shab se aTe to patā chale

    ummīd ye nannhī kiran vāhima na ho

    ab chādar-e-siyāh phaTe to patā chale

    bikhrā huā hai merā qabīla kahāñ talak

    sauġhāt-e-dard phir se miTe to pata chale

    ghar meñ vo ik purānī tasvīr thī ki hai

    sail-e-balā zor ghaTe to pata chale

    ye dhund ye ghubar chhaTe to pata chale

    suraj ka haal raat kaTe to pata chale

    chehron ke KHad-o-KHal salamat hain ya nahin

    ab aainon se gard haTe to pata chale

    zulmat ke karobar mein us ka bhi ek din

    chehra ghubar-e-shab se aTe to pata chale

    ummid ki ye nannhi kiran wahima na ho

    ab chadar-e-siyah phaTe to pata chale

    bikhra hua hai mera qabila kahan talak

    saughat-e-dard phir se miTe to pata chale

    ghar mein wo ek purani si taswir thi ki hai

    sail-e-bala ka zor ghaTe to pata chale

    Source:

    Aks e Gumgushta (Pg. 9)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now