ye dil ukta chuka hai ab jahan se
ye dil uktā chukā hai ab jahāñ se
kahīñ ham haath dho baiTheñ na jaañ se
hamāre ḳhauf kī had baḌh rahī hai
bahut nazdīk hai ātish-fishāñ se
zamīñ bhī duur hotī jā rahī hai
hameñ Dar lag rahā hai āsmāñ se
ḳharīdāroñ se ye kaise kahūñ maiñ
mujhe nuqsān hotā hai dukāñ se
nigāheñ bech dī haiñ maiñ ne 'taslīm'
tumheñ dekhūñgā ab jaane kahāñ se
ye dil ukta chuka hai ab jahan se
kahin hum hath dho baiThen na jaan se
hamare KHauf ki had baDh rahi hai
bahut nazdik hai aatish-fishan se
zamin bhi dur hoti ja rahi hai
hamein Dar lag raha hai aasman se
KHaridaron se ye kaise kahun main
mujhe nuqsan hota hai dukan se
nigahen bech di hain main ne 'taslim'
tumhein dekhunga ab jaane kahan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.