ye duniya hai yahan asli kahani pusht par rakhna
ye duniya hai yahan asli kahani pusht par rakhna
Ehtisham ul Haq Siddiqui
MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui
ye duniyā hai yahāñ aslī kahānī pusht par rakhnā
laboñ par pyaas rakhnā aur paanī pusht par rakhnā
tamannāoñ ke andhe shahr meñ jab māñgne niklo
to chādar sabr kī sadiyoñ purānī pusht par rakhnā
maiñ ik mazdūr huuñ roTī kī ḳhātir bojh uThātā huuñ
mirī qismat hai bār-e-hukmarānī pusht par rakhnā
tujhe bhī is kahānī meñ kahīñ khonā hai shahzāde
ḳhudā hāfiz ye mohr-e-ḳhāndānī pusht par rakhnā
hamesha vaqt kā dariyā ise raftār baḳhshegā
jise aatā ho dariyā kī ravānī pusht par rakhnā
ye duniya hai yahan asli kahani pusht par rakhna
labon par pyas rakhna aur pani pusht par rakhna
tamannaon ke andhe shahr mein jab mangne niklo
to chadar sabr ki sadiyon purani pusht par rakhna
main ek mazdur hun roTi ki KHatir bojh uThata hun
meri qismat hai bar-e-hukmarani pusht par rakhna
tujhe bhi is kahani mein kahin khona hai shahzade
KHuda hafiz ye mohr-e-KHandani pusht par rakhna
hamesha waqt ka dariya ise raftar baKHshega
jise aata ho dariya ki rawani pusht par rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.