ye duriyan ye fasla hamare darmiyan hai ab
ye dūriyāñ ye fāsla hamāre darmiyāñ hai ab
kise batā.eñ dil meñ jo sisaktī dāstāñ hai ab
ye 'ishq kā safar bhī ik 'ajīb baat sā lagā
na ham samajh sake kabhī vo rāz-e-dāstāñ hai ab
na aañkh meñ nazar kī lau na dil meñ raushnī kā rang
koī to ḳhvāb dekh kar ye dil bhī shādmāñ hai ab
jahāñ mileñge ham suneñge ġham kī be-zabānī ko
ye ashk aañkh se bahe ye dil kā tarjumāñ hai ab
vo ḳhat jo tū ne bhej kar thā hāl-e-dil kahā kabhī
hameñ vo yaad thā kabhī magar yahāñ vahāñ hai ab
ye duriyan ye fasla hamare darmiyan hai ab
kise bataen dil mein jo sisakti dastan hai ab
ye 'ishq ka safar bhi ek 'ajib baat sa laga
na hum samajh sake kabhi wo raaz-e-dastan hai ab
na aankh mein nazar ki lau na dil mein raushni ka rang
koi to KHwab dekh kar ye dil bhi shadman hai ab
jahan milenge hum sunenge gham ki be-zabani ko
ye ashk aankh se bahe ye dil ka tarjuman hai ab
wo KHat jo tu ne bhej kar tha haal-e-dil kaha kabhi
hamein wo yaad tha kabhi magar yahan wahan hai ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.