ye gulabi gulabi nasha chha raha
ye gulābī gulābī nasha chhā rahā
kaun dil meñ hamāre chalā aa rahā
kis kī ḳhushbū havāoñ meñ phailī huī
kis kā dāman fazāoñ meñ lahrā rahā
kaun rū-posh hai kis kī āġhosh hai
jism kis kī tapish se ghulā jā rahā
juuñ ghaTā.eñ ghanerī ghirī aa rahīñ
ḳhvāb sā kyā nigāhoñ se Takrā rahā
ik farishtā.ī āvāz hai aa rahī
āsmāñ se udhar kaun hai gā rahā
apnī hastī se qaabū uThā jā rahā
jaise jaadū sā ham pe huā jā rahā
ye gulabi gulabi nasha chha raha
kaun dil mein hamare chala aa raha
kis ki KHushbu hawaon mein phaili hui
kis ka daman fazaon mein lahra raha
kaun ru-posh hai kis ki aaghosh hai
jism kis ki tapish se ghula ja raha
jun ghaTaen ghaneri ghiri aa rahin
KHwab sa kya nigahon se Takra raha
ek farishtai aawaz hai aa rahi
aasman se udhar kaun hai ga raha
apni hasti se qabu uTha ja raha
jaise jadu sa hum pe hua ja raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.