Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye hadsa meri aankhon se gar nahin hota

Chitransh Khare

ye hadsa meri aankhon se gar nahin hota

Chitransh Khare

MORE BYChitransh Khare

    ye hādsa mirī āñkhoñ se gar nahīñ hotā

    to koī ġham bhī mirā ham-safar nahīñ hotā

    havā ke ḳhauf se lo thartharātī rahtī hai

    bujhe charāġh ko āñdhī Dar nahīñ hotā

    qadam qadam pe yahāñ ġham dhuup bikhrī hai

    koī safar bhī ḳhushī safar nahīñ hotā

    ḳhudā tarah mire dil meñ gar na bastā

    to merā dil bhī ibādat ghar nahīñ hotā

    kisī ko yūñhī vafāoñ se mat navāzā kar

    ki be-vafā pe vafā asar nahīñ hotā

    ye hadsa meri aankhon se gar nahin hota

    to koi gham bhi mera ham-safar nahin hota

    hawa ke KHauf se lo thartharaati rahti hai

    bujhe charagh ko aandhi ka Dar nahin hota

    qadam qadam pe yahan gham ki dhup bikhri hai

    koi safar bhi KHushi ka safar nahin hota

    KHuda ki tarah mere dil mein gar na tu basta

    to mera dil bhi ibaadat ka ghar nahin hota

    kisi ko yunhi wafaon se mat nawaza kar

    ki be-wafa pe wafa ka asar nahin hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now