Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye hadson ka naya silsila lage hai mujhe

Unwan Chishti

ye hadson ka naya silsila lage hai mujhe

Unwan Chishti

MORE BYUnwan Chishti

    ye hādsoñ nayā silsila lage hai mujhe

    ḳhud apne aap meñ kuchh TūTtā lage hai mujhe

    zamīn-e-dil pe ye ummīd udaas shajar

    ġhamoñ dhuup meñ jhulsā huā lage hai mujhe

    sunā rahī hai jo duniyā ba-tarz-e-barbādī

    ye vāqi’a to ḳhud apnā lage hai mujhe

    tire sulūk se is darja Dar gayā huuñ maiñ

    ḳhud apne aap se bhī ḳhauf lage hai mujhe

    tirā karam to mire haal se numāyāñ hai

    vo koī aur hai jo bevafā lage hai mujhe

    dikhā.ī detā hai apnī havas 'aks is meñ

    tirā badan bhī ik ā.īna lage hai mujhe

    na jaane shahr meñ kyā baat ho ga.ī 'unvān'

    har ek chehre pe ik ḳhauf lage hai mujhe

    ye hadson ka naya silsila lage hai mujhe

    KHud apne aap mein kuchh TuTta lage hai mujhe

    zamin-e-dil pe ye ummid ka udas shajar

    ghamon ki dhup mein jhulsa hua lage hai mujhe

    suna rahi hai jo duniya ba-tarz-e-barbaadi

    ye waqi’a to KHud apna hi sa lage hai mujhe

    tere suluk se is darja Dar gaya hun main

    KHud apne aap se bhi KHauf sa lage hai mujhe

    tera karam to mere haal se numayan hai

    wo koi aur hai jo bewafa lage hai mujhe

    dikhai deta hai apni hawas ka 'aks is mein

    tera badan bhi ek aaina sa lage hai mujhe

    na jaane shahr mein kya baat ho gai 'unwan'

    har ek chehre pe ek KHauf sa lage hai mujhe

    Source:

    Tahreek Jild 24 Shumara 1 April 1976-Svk (Pg. 20)

      • Publisher: Gopal Mittal
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now