Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye haal mah-o-sal hai firaq se visal tak

Adeel Zaidi

ye haal mah-o-sal hai firaq se visal tak

Adeel Zaidi

MORE BYAdeel Zaidi

    ye haal māh-o-sāl hai firāq se visāl tak

    hayāt ko zavāl hai firāq se visāl tak

    ulajh rahe haiñ mustaqil talāsh-e-sādgī meñ ham

    ye zindagī to jaal hai firāq se visāl tak

    vo kis tarah karūñ bayāñ jo ho ḳhushī dāstāñ

    malāl malāl hai firāq se visāl tak

    gumāñ ko kis tarah likhūñ haqīqatoñ tarjumāñ

    ḳhayāl ḳhayāl hai firāq se visāl tak

    sukūñ niiñd hai kahāñ thamegā kab ye kārvāñ

    ubaal ubaal hai firāq se visāl tak

    yaqīñ meñ kuchh gumān hai gumāñ meñ kuchh yaqīn hai

    yahī diloñ haal hai firāq se visāl tak

    'adīl' dar-ba-dar haiñ ham javāb talāsh meñ

    savāl savāl hai firāq se visāl tak

    ye haal mah-o-sal hai firaq se visal tak

    hayat ko zawal hai firaq se visal tak

    ulajh rahe hain mustaqil talash-e-sadgi mein hum

    ye zindagi to jal hai firaq se visal tak

    wo kis tarah karun bayan jo ho KHushi ki dastan

    malal hi malal hai firaq se visal tak

    guman ko kis tarah likhun haqiqaton ka tarjuman

    KHayal hi KHayal hai firaq se visal tak

    sukun ki nind hai kahan thamega kab ye karwan

    ubaal hi ubaal hai firaq se visal tak

    yaqin mein kuchh guman hai guman mein kuchh yaqin hai

    yahi dilon ka haal hai firaq se visal tak

    'adil' dar-ba-dar hain hum jawab ki talash mein

    sawal hi sawal hai firaq se visal tak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now