Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye hum ghazal mein jo harf-o-bayan banate hain

Ahmad Mushtaq

ye hum ghazal mein jo harf-o-bayan banate hain

Ahmad Mushtaq

MORE BYAhmad Mushtaq

    ye ham ġhazal meñ jo harf-o-bayāñ banāte haiñ

    havā-e-ġham ke liye khiḌkiyāñ banāte haiñ

    unheñ bhī dekh kabhī ai nigār-e-shām-e-bahār

    jo ek rang se tasvīr-e-jāñ banāte haiñ

    nigāh-e-nāz kuchh un bhī hai ḳhabar tujh ko

    jo dhuup meñ haiñ magar badliyāñ banāte haiñ

    hamārā kyā hai jo hotā hai udaas bahut

    to gul tarāshte haiñ titliyāñ banāte haiñ

    kisī tarah nahīñ jaatī fasurdagī dil

    to zard rang ik āsmāñ banāte haiñ

    dil-e-sitam-zada kyā hai lahū buuñd to hai

    is ek buuñd ko ham be-karāñ banāte haiñ

    balā dhuup thī din bhar to saa.e bunte the

    añdherī raat hai chingāriyāñ banāte haiñ

    hunar baat jo pūchho to muḳhtasar ye hai

    kashīd karte haiñ aag aur dhuāñ banāte haiñ

    ye hum ghazal mein jo harf-o-bayan banate hain

    hawa-e-gham ke liye khiDkiyan banate hain

    unhen bhi dekh kabhi ai nigar-e-sham-e-bahaar

    jo ek rang se taswir-e-jaan banate hain

    nigah-e-naz kuchh un ki bhi hai KHabar tujh ko

    jo dhup mein hain magar badliyan banate hain

    hamara kya hai jo hota hai ji udas bahut

    to gul tarashte hain titliyan banate hain

    kisi tarah nahin jati fasurdagi dil ki

    to zard rang ka ek aasman banate hain

    dil-e-sitam-zada kya hai lahu ki bund to hai

    is ek bund ko hum be-karan banate hain

    bala ki dhup thi din bhar to sae bunte the

    andheri raat hai chingariyan banate hain

    hunar ki baat jo puchho to muKHtasar ye hai

    kashid karte hain aag aur dhuan banate hain

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ye hum ghazal mein jo harf-o-bayan banate hain Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now