ye haqiqat bhi baja ki pur-KHatar hai zindagi
ye haqīqat bhī bajā ki pur-ḳhatar hai zindagī
ḳhūn-e-dil piitī hai phir bhī be-samar hai zindagī
zulm-o-istibdād ke is daur-e-pur-āshob meñ
rāhatoñ āsā.ishoñ se be-ḳhabar hai zindagī
dekh kar hālat jahāñ kī ab to lagtā hai yahī
be-maza be-fā.eda aur be-samar hai zindagī
maut kī āñkhoñ meñ āñkheñ Dāltī hai be-ḳhatar
jānib-e-manzil ravāñ mahv-e-safar hai zindagī
bebasī bechārgī kā hai 'alīm' ujḌā dayār
ik bayābāñ ek vīrāñ sī Dagar hai zindagī
ye haqiqat bhi baja ki pur-KHatar hai zindagi
KHun-e-dil piti hai phir bhi be-samar hai zindagi
zulm-o-istibdad ke is daur-e-pur-ashob mein
rahaton aasaishon se be-KHabar hai zindagi
dekh kar haalat jahan ki ab to lagta hai yahi
be-maza be-faeda aur be-samar hai zindagi
maut ki aankhon mein aankhen Dalti hai be-KHatar
jaanib-e-manzil rawan mahw-e-safar hai zindagi
bebasi bechaargi ka hai 'alim' ujDa dayar
ek bayaban ek viran si Dagar hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.