Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye hua maal hubab ka jo hawa mein bhar ke ubhar gaya

Nazm Tabatabai

ye hua maal hubab ka jo hawa mein bhar ke ubhar gaya

Nazm Tabatabai

MORE BYNazm Tabatabai

    ye huā ma.aal hubāb jo havā meñ bhar ke ubhar gayā

    ki sadā hai lutma-e-mauj sar-e-pur-ġhurūr kidhar gayā

    mujhe jazb-e-dil ne ai juz bahak ke rakhā qadam koī

    mujhe par lagā.e shauq ne kahīñ thak ke maiñ jo Thahar gayā

    mujhe piirī aur shabāb meñ jo hai imtiyāz to is qadar

    koī jhoñkā bād-e-sahar thā mire paas se jo guzar gayā

    asar us ke ishva-e-nāz jo huā vo kis se bayāñ karūñ

    mujhe to ajal hai aarzū use vahm hai ki ye mar gayā

    tujhe ai ḳhatīb-e-chaman nahīñ ḳhabar apne ḳhutba-e-shauq meñ

    ki kitāb-e-gul varaq varaq tirī be-ḳhudī se bikhar gayā

    kise sunātā hai ham-nashīñ ki hai ishva-e-dushman-e-aql-o-dīñ

    tire kahne hai mujhe yaqīñ maiñ tire Darāne se Dar gayā

    karūñ zikr kyā maiñ shabāb sune kaun qissa ye ḳhvāb

    ye vo raat thī ki guzar ga.ī ye vo nashsha thā ki utar gayā

    dil-e-nā-tavāñ ko takān ho mujhe us taab na thī zarā

    ġham-e-intizār se bach gayā thā naved-e-vasl se mar gayā

    mire sabr-o-tāb ke sāmne na hujūm-e-ḳhauf-o-rajā rahā

    vo chamak ke barq rah ga.ī vo garaj ke abr guzar gayā

    mujhe bahr-e-ġham se ubuur nahīñ fikr ai mire chāra-gar

    nahīñ koī chāra-kār ab mire sar se aab guzar gayā

    mujhe rāz-e-ishq ke zabt meñ jo maza milā hai na pūchhiye

    mai-e-añgbīñ ye ghūñT thā ki gale se mere utar gayā

    nahīñ ab jahān meñ dostī kabhī rāste meñ jo mil ga.e

    nahīñ matlab ek ko ek se ye idhar chalā vo udhar gayā

    agar aa ke ġhussa nahīñ rahā to lagī thī aag ki bujh ga.ī

    jo hasad josh faro huā to ye zahr chaḌh ke utar gayā

    tujhe 'nazm' vādi-e-shauq meñ abas ehtiyāt hai is qadar

    kahīñ girte girte sambhal gayā kahīñ chalte chalte Thahar gayā

    ye hua maal hubab ka jo hawa mein bhar ke ubhar gaya

    ki sada hai lutma-e-mauj ki sar-e-pur-ghurur kidhar gaya

    mujhe jazb-e-dil ne ai juz bahak ke rakha qadam koi

    mujhe par lagae shauq ne kahin thak ke main jo Thahar gaya

    mujhe piri aur shabab mein jo hai imtiyaz to is qadar

    koi jhonka baad-e-sahar ka tha mere pas se jo guzar gaya

    asar us ke ishwa-e-naz ka jo hua wo kis se bayan karun

    mujhe to ajal ki hai aarzu use wahm hai ki ye mar gaya

    tujhe ai KHatib-e-chaman nahin KHabar apne KHutba-e-shauq mein

    ki kitab-e-gul ka waraq waraq teri be-KHudi se bikhar gaya

    kise tu sunata hai ham-nashin ki hai ishwa-e-dushman-e-aql-o-din

    tere kahne ka hai mujhe yaqin main tere Darane se Dar gaya

    karun zikr kya main shabab ka sune kaun qissa ye KHwab ka

    ye wo raat thi ki guzar gai ye wo nashsha tha ki utar gaya

    dil-e-na-tawan ko takan ho mujhe us ki tab na thi zara

    gham-e-intizar se bach gaya tha nawed-e-wasl se mar gaya

    mere sabr-o-tab ke samne na hujum-e-KHauf-o-raja raha

    wo chamak ke barq rah gai wo garaj ke abr guzar gaya

    mujhe bahr-e-gham se ubur ki nahin fikr ai mere chaara-gar

    nahin koi chaara-kar ab mere sar se aab guzar gaya

    mujhe raaz-e-ishq ke zabt mein jo maza mila hai na puchhiye

    mai-e-angbin ka ye ghunT tha ki gale se mere utar gaya

    nahin ab jahan mein dosti kabhi raste mein jo mil gae

    nahin matlab ek ko ek se ye idhar chala wo udhar gaya

    agar aa ke ghussa nahin raha to lagi thi aag ki bujh gai

    jo hasad ka josh faro hua to ye zahr chaDh ke utar gaya

    tujhe 'nazm' wadi-e-shauq mein abas ehtiyat hai is qadar

    kahin girte girte sambhal gaya kahin chalte chalte Thahar gaya

    Source:

    Deewan-e-Tabatabai (Rekhta Website) (Pg. 50)

    • Author: Nazm Tabatabai
      • Edition: 1933
      • Publisher: Maktaba Ibrahimiya, Hyderabad
      • Year of Publication: 1933
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now