Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye hukm hai ki andhere ko raushni samjho

Zehra Nigaah

ye hukm hai ki andhere ko raushni samjho

Zehra Nigaah

MORE BYZehra Nigaah

    ye hukm hai ki añdhere ko raushnī samjho

    mile nasheb to koh-o-daman baat karo

    nahīñ hai mai na sahī chashm-e-iltifāt to hai

    na.ī hai bazm tarīq-e-kuhan baat karo

    fareb-ḳhurda-e-manzil haiñ ham ko kyā mālūm

    ba-tarz-e-rāhbarī rāhzan baat karo

    ḳhizāñ ne aa ke kahā mere ġham se kyā hāsil

    jahāñ bahār luTī us chaman baat karo

    qadam qadam pe farozāñ haiñ āñsuoñ ke charāġh

    unheñ bujhāo to sub.h-e-vatan baat karo

    bahār aa.e to chup chaap guzar jaa.e

    na rañg-o-bū na sarv-o-saman baat karo

    ye hukm hai ki andhere ko raushni samjho

    mile nasheb to koh-o-daman ki baat karo

    nahin hai mai na sahi chashm-e-iltifat to hai

    nai hai bazm tariq-e-kuhan ki baat karo

    fareb-KHurda-e-manzil hain hum ko kya malum

    ba-tarz-e-rahbari rahzan ki baat karo

    KHizan ne aa ke kaha mere gham se kya hasil

    jahan bahaar luTi us chaman ki baat karo

    qadam qadam pe farozan hain aansuon ke charagh

    unhen bujhao to subh-e-watan ki baat karo

    bahaar aae to chup chap hi guzar jae

    na rang-o-bu ki na sarw-o-saman ki baat karo

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Zehra Nigaah

    Zehra Nigaah

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 327)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now