Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye husn-e-tabassum ye kiran dekh rahi hai

Sajjad Mirza

ye husn-e-tabassum ye kiran dekh rahi hai

Sajjad Mirza

MORE BYSajjad Mirza

    ye husn-e-tabassum ye kiran dekh rahī hai

    duniyā tirā andāz-e-suḳhan dekh rahī hai

    shāyad ki hai ḳhurshīd niyyat meñ ḳharābī

    kyoñ dhuup gulāboñ ke badan dekh rahī hai

    armān-e-safar dhuup meñ jiine hai aadī

    saa.e taraf dil thakan dekh rahī hai

    hai manzar-e-hairat ki añdheroñ ko mirī aañkh

    pahne hue kirnoñ kafan dekh rahī hai

    jis roz se āñkheñ mirī ashkoñ se bharī haiñ

    hairat se unheñ dil jalan dekh rahī hai

    aao ki lahū daan kareñ is ke liye ham

    hasrat se hameñ arz-e-vatan dekh rahī hai

    'sajjād' hai be-kār tirā husn-e-takallum

    duniyā tire māthe pe shikan dekh rahī hai

    ye husn-e-tabassum ye kiran dekh rahi hai

    duniya tera andaz-e-suKHan dekh rahi hai

    shayad ki hai KHurshid ki niyyat mein KHarabi

    kyon dhup gulabon ke badan dekh rahi hai

    arman-e-safar dhup mein jine ka hai aadi

    sae ki taraf dil ki thakan dekh rahi hai

    hai manzar-e-hairat ki andheron ko meri aankh

    pahne hue kirnon ka kafan dekh rahi hai

    jis roz se aankhen meri ashkon se bhari hain

    hairat se unhen dil ki jalan dekh rahi hai

    aao ki lahu dan karen is ke liye hum

    hasrat se hamein arz-e-watan dekh rahi hai

    'sajjad' hai be-kar tera husn-e-takallum

    duniya tere mathe pe shikan dekh rahi hai

    Source:

    Dasht-e-Tanhayi (Pg. 37)

    • Author: Sajjad Mirza
      • Publisher: Mohammad Iqbal Najmi
      • Year of Publication: 1990
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now